Dard Shayari & Quotes In English & In Hindi:

Ajab In Barishon Ke Dekhiye Kya khel Hote Hain
Kahi sab Doob Jata Hai Kahi Khaliyan Sukhe hain

Siva Bas iss Kamai Ke Jahan Main Kuch Nahi Rahta 
Kamayen Aap Wo Jise Achhai Kahte Hain

khalish Majood Rahti Hai, Kabhi ye Kum Nahi Hoti 
Kise Dikhlaye Bas Ye Soch Kar Chup Chap Sahte Hain

Hume Kahte Rahe Dariya, Hawala DeKe Maujhon Ka
Mukhbir Ho Hawa Jab Samne Hum Tab Uchalte Hain

Hain Aankho Main Kabhi Badal, Kabhi Ek Dhoop Si Chamki
Kabhi Khamosh Aanshu Bas Bina Baat Hi Bahte hain

Hui Muddat Badal Dala Tha Humne Pairhun Apna
Magar Beete Hue Lamhe Abhi Tak Humse Lipte Hain

Issi Ummid Par Dube Bhanwar Main ‘Sarv’ Jakar Hum 
Suna Tha Doobne Par Aake Wo Sab Ko Bachate Hain


Khuda Bhi Roye Raaton Ko Sune Wo Haal-e-Duniya Jab
Wargana phool Par Shabnam Giraane Kon Aata Hai

Yahi Hai Bhool Dekhe Phool Hi Bas 
Ki Unke Haath Ke Khanzar Na Dekhe

Kabhi Puche Hamara Hale Dil Bhi 
Abhi tak Humne Wo DilbarNa Dekhe

Wo Kya Janega Yarron Lutf Uska
Ki Jiske Ashk Khud Peekar Na Dekhe

Khuda Ko Har Jagah Dhundhe hai Inshan
Magar Wo Jhank Kar Andar Na dekhe


Dard Shayari
Dard Shayari
Dekh Kar Aankhe Jhuka Li Kis liye 
Duriyan Humse badha li Kis Liye 

Rukh Zamane ka Badal Paye Nahi
Husraten Apni Mita Li, Kisliye

Tum Pareshan Agar Nahi Ho, To Kaho
Gardanen Apni Jhuka Li, Kisliye

Gar Pata Tha Dil Ki Banjar Hai Zamin
Payar Ki Faslen Ugga, Li Kisliye

Ho Gaye Badnaam To Socha Ye Bas 
Aapse Nazren Mila Li, Kisliye

Aandhiyon Ka Dar Nahi Gar Aapko

Saankale dar Par Laga Li, Kisliye

sawaal Shayari
sawaal Shayari


Gumon Se Jo Rishta Nibha Hi Na Paya
Khushi Bhi Na Usse Nibhai Gayi


Hai Agar Aap Kuch Sayane Se 
Mat Gila Kijiye Zamane Se

__________________

Humko Liye Bahtakti Rahi Raat Dasht-Dasht
Jab Shehar-Shehar Dhundh Rahi Thi sahar Hume
Ghar Se Humare Le Gya Mehmaan Budo-Bash
Or De Gya Ek Umr Ka Andha Safar Hume

Siyaah Shab Mein Wo Chad Jesa,
Sulagte Dil Mein Saba Ho Jese
Kareeb Rah Kar Bhi Door Rhna
Muqaddaro Mein Likha Ho jese

Deepak Deepak Roz Jalu
Roz Dhuan Ho Kar Bikhru
Kese-Kese Khwab Gadhe The
Ab Kya Tukde-Tukde Hu

_____________

Kal Tak Aasuda Dili Thi
Aashiyan Tha Aur Main
Aaaj Hai Bikhra Hua
Ek-Ek Tinka Aur Main

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *