Dua Poetry English | Dua Quotes



Dua Poetry
Dua Poetry 


Dua Shayari 

Jhuka Ke Sar Uthao Hath Dono
Nahi Jati Kabhi Khali Duaaye

Pyar Beshak Kiya Kijiye
Par Ana Ko Bhula Dijiye
Hausle Bas Salamat Rahe
Aap Itni Dua Kijiye

Fasle Guftagu Se Mit Te Hai
Chup Sada Duriyan Badhata Hai
Hath Apne Utha Duaaon Main
dekh Phir Kya Sukun Aata Hai

Jo Hmaesha Hume Rulate Hain
Khus Rahwe Wo Bhi Ye Dua Kariye
Or Kuch Bhi Na Kaam Aayega
Bas Yahi Soch Kar Bhala Kariye
_____________

Kuch Duaye Mehrbaan Hone Lagi
Mushkile Phir Se Asan Hone Lagi
Aas Ki Kpole Rondta Jo Raha
Bas Usi Pe Ye Qurbaan Hone Lagi


Dua Shayari | Dua Shayari Hindi | Dua Poetry English | Dua Quotes
Dua Shayari
Bekhauf ab to yaha hawa bhi nahi aati
Is shahar ke logo ko haya bhi nahi aati

Ye soch ke hotho pe DUA bhi nahi aati
khwahish ke mutabik to qaza bhi nahi aati

Ye jurm ka rasta hai ki,hai jane kaha tak
Raste me koi hadde sada bhi aati

Mai door taklluf se raha itna ki mujhko
Zakhmo ko chhupane ki ada bhi nahi aati

Hamrahe saba hoke udi jati hai khushbu
Har phool sada deta hai aa bhi nahi aati

Taqraar kiye jaiye Alhifzo amaa ki
Ab laut ke khud apni sada bhi nahi aati



Dua Ke Hath Pathar Ho Gaye Hai
Khuda Har Zahan Mein Tuta Hua Hai
Garazti Aandhiya Zaya Hui Hai
Palak Se Tut Kar Aansu Gira Hai

_______________

Har Ek Daste-Talab Ko Pukarta Hu Main
Uthao Hath Mang Lo Mujhe Dua Hu Main
Mere Ajal Aur Adab Main Nahi Hai Fark Koi
Abhi Sheru Abhi Khatam Hua Hu Main


Dua Shayari | Dua Shayari Hindi | Dua Poetry English | Dua Quotes
Dua Shayari



Koi Lashkar Aayega Tufan Ki Surat Mein

Sar Se Wo Khwabo Ka Khema Uda Le Jayega

Aur Kya Rakha Hai Mere Paas Le Jaane Ko Ab

Mera Qatil Aayega Meri Dua Le jayega

_______________


Duaaon Ke Samne

Wafaon Ki Baatein Ki Zafaon Ke Samne,
Le Chale Hum Chirag Hawaon Ke Saamne,
Uthhe Hain Jab Bhi Haath Badli Hain Kismatein,
Majboor Hai Khuda Bhi Duaaon Ke Saamne.


वफाओं ​की बातें की जफ़ाओं के सामने​,
ले चले हम चिराग़ हवाओं के सामने​,
उठे हैं जब भी हाथ बदली हैं क़िस्मतें​,
मजबूर है ​खुदा भी दुआओं के सामने

_______________


Ek Shaam Tanhayi Mitane

Woh Aa Gaye Milne Humse Ek Shaam Tanhayi Mitane.
Aur Hum Samajh Baithe Ise Apni Duaaon Ka Asar.


वो  गए मिलने हमसे एक शाम तन्हाई मिटाने,
और हम समझ बैठे इसे अपनी दुआओं का असर।

_______________


Hijr-e-Yaar

Maanga Karenge Ab Se Duaa Hijr-e-Yaar Ki,
Akhir Ko Dushmani Hai Duaa Ki Asar Ke Saath.

माँगा करेंगे अब से दुआ हिज्रयार की,
आखिर को दुश्मनी है दुआ की असर के साथ।

_______________


Wafaa Maagenge

Chaand Niklega Toh Log Duaa Maagenge,
Hum Bhi Apne Mukaddar Ka Likha Maagenge,
Hum Talabgaar Nahi Duniya Ki Daulat Ke,
Hum Rab Se Sirf Aapki Wafaa Maagenge.

चाँद निकलेगा तो लोग दुआ मांगेंगे,
हम भी अपने मुकद्दर का लिखा मांगेंगे,
हम तलबगार नहीं दुनिया की दौलत के,
हम रब से सिर्फ आपकी वफ़ा मांगेंगे।
_______________

Ulfat-e-Yaar

Ulfat-e-Yaar Mein Khuda Se Aur Maangun Kya,
Yeh Dua Hai Ke Tu Duaon Ka Bhi Mohtaaj Na Ho.


उल्फतयार में खुदा से और माँगू क्या,
ये दुआ है कि तू दुआओं का मोहताज  हो।

_______________

Best Dua Shayari

Hajaar Baar Jo Maanga Karo Toh Kya Haasil,
Dua Wahi Hai Jo Dil Se Kabhi Nikalti Nahi.


हज़ार बार जो माँगा करो तो क्या हासिल,
दुआ वही है जो दिल से कभी निकलती है।


_______________


Meri Talab Tha Ek Shakhs

Wo Jo Nahi Mila Toh Phir,
Haath Duaa Se Yun Gira
Bhool Gaya Sawaal Bhi.

मेरी तलब था एक शख़्स
वो जो नहीं मिला तो फिर,
हाथ दुआ से यूँ गिरा
भूल गया सवाल भी।

_______________


Kuchh Sawal De Jaye

Khuda Kare Ke Achanak Wo Samne Aakar,
Mere Labon Ko Naye Kuchh Sawal De Jaye.

खुदा करे के अचानक वो सामने आकर,
मेरे लबों को नए कुछ सवाल दे जाये।
_______________



Mohabbat Mangte Hain


Rab Se Aapki Khushi Mangte Hain,
Duaon Me Aapki Hansi Mangte Hain,
Sochte Hain Kya Mangen Aapse,
Chalo Umr Bhar Ki Mohabbat Mangte Hain.

रब से आपकी खुशी मांगते हैं,
दुआओं में आपकी हंसी मांगते हैं,
सोचते हैं क्या मांगें आपसे,
चलो उम्र भर की मोहब्बत मांगते हैं।

_______________


Haal-E-Dil Humara

Humse Bhi Pooch Lo Kabhi Haal-E-Dil Humara,
Kabhi Hum Bhi Kah Saken Ki Duaa Hai Aapki.
हमसे भी पूछ लो कभी हालदिल हमारा,
कभी हम भी कह सकें की दुआ है आपकी।

_______________


Best Dua Quotes
Duayen Mil Jaayen Yahi Kaafi Hai,
Dawayen To Keemat Adaa Karne Par Mil Hi Jati Hain.

दुआएँ मिल जाये यही काफी है,
दवाए तो कीमत अदा करने पर मिल ही जाती हैं।

_______________


Khushiyan Maga Karte Hain
Maine Wahan Bhi Tujhe Manga Tha,
Jahan Log Sirf Khushiyan Maga Karte Hain.

मैंने वहाँ भी तुझे माँगा था,
जहाँ लोग सिर्फ खुशियाँ माँगा करते हैं।

_______________


Beautiful Dua Shayari English
Hajaar Baar Jo Maanga Karo To Kya Haasil,
Dua Wahi Hai Jo Dil Se Kabhi Nikalti Nahi.

हजार बार जो माँगा करो तो क्या हासिल,
दुआ वही है जो दिल से कभी निकलती नहीं।

_______________

Ye Meri Duaa Thi

Main Uski Zindagi Se Chala Jaaun Ye Uski Dua Thi,
Aur Uski Har Dua Poori Ho Ye Meri Duaa Thi.

मैं उसकी ज़िन्दगी से चला जाऊं ये उसकी दुआ थी,
और उसकी हर दुआ पूरी हो ये मेरी दुआ थी।


_______________

Lamhat Maange Hain

Andhero Ke Liye Kuchh Aaftaab Maange Hain,
Apne Liye Humne Dost Kuchh Khaas Maange Hain,
Jab Bhi Dua Me Kuchh Maanga Hai Rab Se,
To Aapke Liye Khushi Ke Lamhat Maange Hain.

_______________


अंधेरों के लिए कुछ आफताब मांगे हैं,

अपने लिए हमने दोस्त कुछ ख़ास मांगे हैं,
जब भी दुआ में कुछ माँगा है रब से,
तो आपके लिए खुशी के लम्हात मांगे हैं।

Har Dua Aapki Huyi

Ye Khusbhu Ye Hawaa Aapki Huyi,
Mausam Ki Har Ek Ada Aapki Huyi,
Dil Ne Chaha Kuchh Khaas Tohfa Du Aapko,
Chalo Aaj Se Meri Har Dua Aapki Huyi.

_______________


ये खुशबू ये हवा आपकी हुई,
मौसम की हर एक अदा आपकी हुई,
दिल ने चाहा कुछ ख़ास तोहफा दूँ आपको,
चलो आज से मेरी हर दुआ आपकी हुई।


Ek Dua Rahti Hai
Dil Me Aur Labon Pe Ek Dua Rahti Hai,
Har Ghadi Mujhe Aapki Parwah Rahti Hai,
Khuda Har Khushi Zindagi Ki Kare Adaa Aapko,
Har Dua Mein Meri Ye iltija Rahti Hai,

_______________

दिल में और लबों पे एक दुआ रहती है,
हर घड़ी मुझे आपकी परवाह रहती है,
खुदा हर खुशी ज़िन्दगी की करे अदा आपको,
हर दुआ में मेरी ये इल्तजा रहती है।


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *