Zulf Shayari






apne sar ik bala to leni thi
maine ne vo zulf apne sar le hai


bahut mushkil hai duniya ka savarna 
tiri zulfon ka pech-o-kham nahin ha


baal apne us pari-ru ne savaare raat bhar 
saanp lote saikdon dil par hamare raat bhar


bikhri hui ho zulf bhi is chashm-e-mast par
halka sa abr bhi sar-e-mai-ḳhana chahiye





chhedti hain kabhi lab ko kabhi rukhsaron ko
tum ne zulfon ko bahut sar pe chadha rakkha hai


dekhi thi ek raat tiri zulf khvab men
phir jab talak jiya main pareshan hi raha




gayi thi kah ke main laati huun zulf-e-yaar ki bu
phiri to baad-e-saba ka dimagh bhi na mila





gesu ruḳh par hava se hilte hain
chaliye ab donon vaqt milte hain

ham hue tum hue ki ‘mir’ hue
us ki zulfon ke sab asiir hue


ijazat ho to main tasdiq kar luun teri zulfon se
suna hai zindagi ik ḳhuub-surat daam hai saaqi

jab yaar ne utha kar zulfon ke baal bandhe
tab main ne apne dil men lakhon ḳhayal bandhe




kis ne bhige hue balon se ye jhatka paani
jhuum ke aayi ghata tuut ke barsa paani

kisi ke ho raho achchhi nahin ye azadi
kisi ki zulf se lazim hai silsila dil ka

niind us ki hai dimaġh us ka hai raten us ki hain
teri zulfen jis ke baazu par pareshan ho gayi


phir yaad bahut aaegi zulfon ki ghani shaam
jab dhuup men saaya koi sar par na milega

puchha jo un se chand nikalta hai kis tarah
zulfon ko rukh pe Daal ke jhatka diya ki yuun




sab ke jaisi na bana zulf ki ham saada-nigah
tere dhoke men kisi aur ke shane lag jaaen

subh-dam zulfen na yuun bikhraiye
log dhoka kha rahe hain shaam ka



zahid ne mira hasil-e-iman nahin dekha
rukh par tiri zulfon ko pareshan nahin dekha…

zara un ki shokhi to dekhna liye zulf-e-kham-shuda haath me
mere paas aaye dabe dabe mujhe saanp kah ke Dara diya


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *