Khuda Shayari
Khuda Shayari
Jab Paa Liya Tujhe To Main Mangu Khuda Se Kya
Ab Kon Mujh Sa Khusnaseeb Yaha
Har Su Dikha Khuda Hi Jidhar Dekhte Rahe
Uska Kamal Shamo Sehar Dekhte Rahe
Hai Khuda To Wahi, Wo Na Bdla Kabhi
Deen Insano Ke Hi Badlte Rahe
Bharam Hai, khwab Hai, Kya Hai Khudaya
Yaha Sab Log Dikhte Hai Shukhi Se
Sabhi Dhoodhte Firte Khuda Ko
Nahi Milte Magar Ye Aadmi Ko
Sambhala To Bahut Tha zindagi Ko
Magar Ye Tut Ta Sa Phir Raha Kya
Yaha Jab Ghar Bhara Hai Khudi Se
Bhla Isme Rahega Wo Khuda Kya
________
________
Khuda Yaa Mulq Ko Mere, Tera Hi Ab Sahara Hai
Pareshan Ho Chuke Hai Hum, Tabhi Tujhko Pukara Hai
Koi Kasar Na Chodi Uss Ko Talashne Me
Wo Mila Kuch Ese Ke Khuda Mila
________
Nahi Fursat Kabhi Tum Se Mile Ham
Milega Phir Humko Khuda Kya
Pareshan Hai Jaha Julmo-Sitam Se
Khuda Waqif Nahi Isse Mera Kya
Mukhote Pahne Hi Jo Ghr Se Nikle
Dikaye Unko Aaina Kya
_________
Mai Wazu Karti Hoon Gangajal Se Jab
Muskurata Hai Wo Khuda Har Baar Hai
Jaan Le Ye Sabki Sunta Hai Khuda
Har Ghadi Usko Bulana Chod De
Tu Khuda Se Mang Le Jo Mangna
Admi Se Bas Milti Kherat Hai
Hame Bakhshi Khuda Ne Rahmate Jo
Chalo Ab Dono Hatho Se Lutaye
Aapse Muh Modkar Ye Dekhta Rahta Hu Main
Jab Bulate Hi Nahi Tum To Bujha Sa Rhta Hu Main
Main Na Dubun Mujhko Itna Hausla Dena Khuda
Ek Tinke Ke Sahare Terta Rhta Hu Main