Worlds best shayari
Worldsbestshayari On Hawa | Ada | Niyat | Love | Dosti | Barish | Narazgi | Judai
Yaad Shayari
Main Raat Tadpta Hi Rha Wakfa-Ba-Wakfa
Pajeb Teri Yaad Ki Tham Tham Ke Baji Thi
Tum Ne Na Suni Adal Ke Zanjeer Ki Aawaz
Main Ne To Khamoshi Ki Fariyaad Bhi Suni Thi
Apni Hi Yaadon Ki Boseeda Rida Le Jayega
Mere Ghar Tak Bhi Wo Aaay To Kya Le Jayega
Iss tarh Girne Na Do Yaado Ki Shabnam Der Tak
Ye Khnak Saya Bhi Koi Dil Jala Le Jayega
Yaad Shayari
Tumhari Yaad Mein Hum Jashn-E-Gum Manaye Bhi
Kisi Tarh Se Agar Tumko Yaad Aaye Bhi
Chalak Padte Hai Khud Hi Gulab Aankho Ke
Wo Paas Aaye To Ye Dastan Sunaye Bhi
Har Ek Lamha Yahi Bekali Si Hai Dil Mein
Ki Unn Ko Yaad Kare, Unn Ko Bhool Jaye Bhi
Wo Jinke Ke Zikar Se Zindagi Hai Hasin
Wo Log Aaye To Unko Aankho Pe Bithaye Bhi
Yaad Shayari
Jo Rah Bhool Gya Rasta Dikha Ke Mujhe
Chale To Jism Jale Ruke To Saans Ruke
Hai Zulm Yaad Tere Shahar Ki Hawa Mujhe
Bujhi Hui Hein Jo Shamaye Wo Jhilmilaye Kya
Jo Yaad Bhi Nahi Aat use Bhulaye Kya
Jo Mehtab Ki Kirno Ka Baar Utha Na Sake
Sitara-E-Sahri Se Nazar Milaye Kya
Wahshaten Kuch Iss Tarh Humari Muqaddar Ho Gayi
Hum Jaha Pahuche, Hamare Sath Veerane Gaye
Ab Bhi Un Yaado Ki Khushbu Zehan Mein Mahfooz hai
Barha Hum Jin Se Gulzaro Ko Mhkaane Gaye
Yaad Shayari
Mera Kya Zikr Ki Tuta Hua Rishta Hu Main
Ab To Kuch Yaad Nahi Ki Kab Se Aakela Hu Main
Yaad Shayari
Tum Se Hasin To Aur Bhi Honge
Lekin Koi Tumse Hoga
Ab To Kuch Yaad Nahi
Humne Tumko Chaha Hoga
Yaad Shayari
Teri Yaado Se Dil Yun Jagta Hai
Gulo Se Jis Tarh Guldaan Jage
Mere Aane Se Mahfil Jagti Thi
Mere Marne Pe Kabristan Jage
Kisi Ki God Mein Tu Chand Ban Kar Doob gaya
Kisi Ke Hath Teri Yaad Ke Khazane Lage
Ye Shab Ke Saye Meri Khamoshi Ka Husn Bhi The
Magar Ye Saye To Ab Shor Bhi Machane Lage
Hara Shahar Na Sahi, Khusk Ghas Rahene De
Zami Ke Jism Par Koi Libas Rahene De
Kahi Na Rah Mein Suraj Ka Kahar Tute Pade
Tu Apni Yaad Mere Aas Paas Rahene De
Muskaan/Yaad
Aakhiri Tees Aazmane Ko
Jee To Chahta Hai Muskurane Ko
Yaad Itni Bhi Sakht-Jaan To Nahi
Ek Gharonda Raha Hai Dhane Ko
Muskaan Shayari
Sheeri Labo Ke Phool Nahi Hai Sb Ek Jaise
Muskano Main Kadwapan Bhi Ho sakta Hai
Bheedh Bahre Chorahe Par Jo Baitha Hoga
Uske Dil Main Akelapan Bhi Ho Sakta Hai
Best Ever Muskaan Shayari
Muskurata Hu To Aksar ye Khayal Aata Hai
Aankh Mein Num Kahi Barse Hue Paani Ka Na Ho
Log Kya Jane Ki Guzre Hue Mausam Kya The
Kaba Par Paiband Koi Nishani Ka Na Ho
Hawa/ Muskan Shayari
Khiza Ke Tan Pe Hawaon Ke Taziyane Lage
Barange-Zakhm Kai Phool Muskurane Lage
Bas Ek Maut Ki Khwahish Ko Aur Jeene Do
Kahi Hayat Ki Ye Lash To Thikane Lage
Hawa Shayari
Maut Ke Dar Se Patta Patta Kaanp Utha
Ek Hawa Ka Jhoka Jab Bebaak Hua
Abr Ne Rakh Li Aabru Pyaasi Mitti Ki
Sabza-Sabza Dharti Ki Poshak Hua
Hawa Shayari
Chirag Ho To Roshni Lutao Tum
Ye Kesi Zid Hai Ke Rukh Par
Hawa Ke Baith Gaye Tum
Hawa Shayari
Aye Hawa Aur Thoda Ahista Dekh
Kab Se Bikhar Rahe Hai hum
Surkhiyan Sab Hamare Khoon Ki Hai
Roz Taza Khabar rahe Hai Hum
Hawa Shayari
Barf Ke Jism Pe Kya Thandi Hawao Ka Asar
Ban Ke Rhna Hai Aaag Ka Shola Tumko
Ab To Meri Aankhe Hai Tumhari Aankhe
Ha Mere Baad Nazar Aayegi Duniya Tumko
Ajeeb Hai Dil Ka Ye Diya Bhi
Hawa chale Maho-Saak Guzre
Mujhe Kuch Mahsus Ho Raha Hai
Abhi Abhi Kuch Bujha Ho Jese
Ladi Hai Khusbhu Se Phir Hawaye,
Phoolon Ke Pakne zki Fasal Aayi
Faza Main Dekho Koi Na Koi
Parinda Hoga Utrne Wala
Bina Palak Jhapke Muntzir Hai
Talab Ka Thahra Thahra Pani
Na Jane Kis Neend Soya Hai
Iss Aaine Mein Sawrne Wala
Hawa Shayari
Ku Udati Phir Rahi Hai Hawa Mujhe
Main Agar Ek Shakh Se Tuta Patta Nahi
Aaj Tanha Hu To Kitna Ajnabee Mahol Hai
Ek Bhi Raste Ne Tere Shehar Mein Roka Nahi
Kadmon Ki Chap Der Se Aati Hai Kaan Main
Koi Mere Khayal Mein Firta Na ho Kahi
Saniki Hui Hawao Main Khushubu Ki Aanch Hai
Patton Mein Koi Phool Dahkta Na ho Kahi
Abr Ke Saye To Mit Te Hai Hawa Ke Hatho
Dhoop Hi Apna Muqqdar Hai So Jalte Rahiye
Kis Ko Fursat Hai Ke Sune Koi Baat
Khud kalami Ke Johar Se Nikharte Rahiye
Jalne Lage Khala Mein Hawao Ke Nakhse-Pa
Suraj Ka Hath Sham Ki Gardan Pe Ja Pda
Chhat Se Pighal Ke Jam Gayi Khwabo Ki Chandani
Kamre Ka Dard Haanfte Sayon Ko Kha Gya
Hawa Shayari
Ujad Chuke Hai Daro-Baam Wo Chiraag Hai Ghar
Talash Karti Hai Galion Mein An Hawayen Kya
Bahut Taleeb Hai Manzil, Bahut Kareeb Hai Ghar
Ye Sochete Hue Raste Se Laut Jaye Kya
Tarikiyan Kabool Hai Lekin Kabhi Kabhi
Aangan Mein Mere Chand Bhi Utra Kare Koi
Mene Hawa Ki Dolti Hui Lahro Ko Chun Liya
Ab Mera Sath De Ke Kinara Kare Koi
Raat Ke Saans Ki Mahkaar Se SarShar Hawa
Jagte Shahar Sula Deti Hai, Bedar Hawa
Jane Kis Tarh Khalao Mein Dhanuk Bunti Hai
Chand Ki Rang Bhari Jheel Ke Uss Paar Hawa
Kitni Yaadyen Hai Ki Jhoko Ki Tarh Bahti Hai
Chod Aati Hai Jinhe Manjhdhar Hawa
Sar Khule, Khak Udati Hui, Aangan-Aangan
Raat Ke Dard Ka Kar Jati Hai Izhaar Hawa
Chand Ke Ras Mein Bujhe Lamho Ki Tanhai Mein
Jahar-E-Hizr Mein Doobi Hui Talwaar Hawa
Kitne Lamhe The Ki Ashkon Ki Tarh Barse The
Raat Guzri Thi Jo Gaati Hui Malhaar Hawa
Wo Teri Jhumti Zulfon Ka Ghna Jangal Hai
Bhool Jati Hai Yaha Shoki-E-Raftaar Hawa
Aasman Par Safre-E-Mauze-Sahar Se Pahle
Roz Utha Deti Hai Ek Rang Ki Deewar Hawa
Niyat Shayari
Der Agar Ek Pal Ki Ho Jaye
Umr Bhar Phir Wo Pal Nahi Milta
Kuch Hamari Tarh Bhi Hote Hai
Sbko Niyat Ka Phal Nahi Milta
___________
Dheere Se Aake Dil Mein Bsna
Saanso Mein Samake Neend Udana
Hum Se Hum Hi Ko Churake
Phir Ye Puchna Dil Mein Tumhara
Kab Hua Ana
Ye Kesa Nyay Hai Zara Batana
Funny Shayari
College Mein Class Hoti Hai
Miss Kare Ke Liye
Ladkioun Ke Gaal Hote Hai
Kiss Karne Ke Liye
______________________
Dosti Shayari
Ek Saath Rah Kar Bhi Door Rhae Hum Tum
Dhoop Aur Chaon Ki Dosti Azab Guzri
Jane Kya Hua Hum Ko Fasle Gul Mein Bhi
Barge Dil Nahi Larza, Teri Yaad Jab Guzri
Dosti Shayari
Askhe-Rawan Ki Nahar Hai Aur Hum Hai Dosto
Us Bewafa Ka Shehar Hai Aur Hum Hai Dosto
Ye Ajnabee Si Manzilen Aur Raftagan Ki Yaad
Tanhaiyon Ka Zahar Hai Aur
Dil Ka rishta Hai Humara
Dil Ke Kone Main Naam Hai Tumhara
Hum Sath Nahi To Kya Hua
Zindagi Bhar Pyar Nibhane Ka
Wada Nahi Humara
Dosti Shayari
Jab Koi Khayal Dil Se Takrata Hai
Dil Na Chahte Hue Bhi Khamosh reh Jata Hai
Koi Sab Kuch Keh Kar Dowsti Jatata Hai
To Koi Kuch Na Keh Kar Bhi Dosti Nibhata Hai
___________________________
Barish Shayari
Sawan Ki Barssat Ka Kya Karu
Dil Ki tapish Ka Kya Karu
Kahan Waqt Ka Dariya Kya Janu
Dil Pe Hua Kisi Ka Asar
Bolo Ab Uss Asar Ka Kya Karu
_________________
Naraz/Ruthna Shayari
Chikhengi Badmast Hawaye, Unche Unche Pedon Mein
Ruth Ke Jane Wale Patton! Kab Tak Wapis Aaoge
Jadugarni Hai Ye Pyare, Aawazo Par Dhyan Na Do
Peeche Mud Kar Dekha To Pathar Ke Ho Jaoge
Naraz Shayari
Kese Kahe Ki Wo Humse Khafa Hai
Usne To Hamse Koi Gila Nahi Kia
Mujh Ko Ye Hosh Hi Na Tha,
Tu Mere Bajuo Main hai
Yani Tujhe Abhi Talak Meine Abhi Riha Nahi Kia
_______________________
Judai Shayari
Ban Gaya Jism Guzre Kafilon Ki Gard Sa
Kitna Veeran Kar Gya Juda Hoke Mujh Ko Mera Humdard
Tujh Se Juda Hun To Koi Phool Na Mahke Mujhme
Dekh Kya Kabr Hai, Kya Jaat Ki Sachhai Hai
Phir Mere Ghar Ki Fazao Mein Hua Sanatta
Zindagi Roz Ek Zakhm Ki Gahrai Hai
Kuch To Hai Ye Ki Meri Rah Juda Hai Tujh Se
Or Kuch Karz Bhi Mujh Pe Teri Tanhayi Hai
Wo Sitare Jo Chamkate Hai Tere Aangan Mein
Us Sitaro Se To Apni Bhi Shanasai Hai
Jane Kis Aalam Main Tu Bichada Ki Hai Tere Bagair
Aaj Tak Har Naksh Fariyadi Meri Tahreer Ka
Kese Paya Tha Tujhe Phir Kis Tarh Khoya Tujhe
Mujh Sa Munkir Bhi Ho Gya Kayal Taqdeer Ka
Izhaar Shayari
Aatish-Ehsaas Ki Chingariyon Ki Aanch Se
Pattiyan Murjha Gayi Hai Quvatte-Izhaar Ki
Dosto, Ab To Sava Naije Pe Suraj Aa Gaya
Kaam Kya Aayegi Chadar Saya-E-Deewar Ki
Sar Khule, Khak Udati Hui, Aangan Aangan
Raat Ke Dard Kar Jati Hai Izhaar Hawa
Kitne Lamhe The Ki Ashko Ki Tarh Barse The
Raat Guzri Thi Jo Gaati Hui Malhaar Hawa
Ada Shayari
Haath Kaanto Se Kar Liye Zakhmi
Phool Balo Mein Ek Sajane Ko
Aas Ki Baat Ho Ki Ssans Ada
Ye Khilone The Tut Jane Ke Liye
Good Night Shayari
Tamam Umr Yun Hi Ratjago Se Kya Hasil
Unhe Bhulaye, Neend Ko Bulaye Bhi
Good Night
Raat/Goodnight Shayari
Deewar Se Wo Dhoop To Kab Ki Uttar Chuki
Dubo Hua Hai Soch Mein Saya Abhi Talak
Dekha Tha Raat Jheel Mein Ek Aks Aur Bhi
Utra Hua Hai Chand Ka Chehra Abhi Tak
Love Shayari
Dil Mein Pyar Ki Jot Jaga
Geeto Mein Chingari Rakh
Phool Nahi To Ashk Luta
Itni To Dildaari Rakh
Sad Shayari
Humko Liye Bahtakti Rahi Raat Dasht-Dasht
Jab Shehar-Shehar Dhundh Rahi Thi sahar Hume
Ghar Se Humare Le Gya Mehmaan Budo-Bash
Or De Gya Ek Umr Ka Andha Safar Hume
Siyaah Shab Mein Wo Chad Jesa,
Sulagte Dil Mein Saba Ho Jese
Kareeb Rah Kar Bhi Door Rhna
Muqaddaro Mein Likha Ho jese
Deepak Deepak Roz Jalu
Roz Dhuan Ho Kar Bikhru
Kese-Kese Khwab Gadhe The
Ab Kya Tukde-Tukde Hu
Sad Shayari
Kal Tak Aasuda Dili Thi
Aashiyan Tha Aur Main
Aaaj Hai Bikhra Hua
Ek-Ek Tinka Aur Main
Juda Shayari
Karenge Aap Juda Hona Gawara Kya
Yahi Zid Hai To Chaliye Hamara Kya
Aandhere Mein Achanak Rishni Kesi
Chalo Puche Hame Usne Pukara Kya
Wo Mil Ke Phir Jo Bichda
Hai To Hairat Ku
Qayamat Aaa Nahi Sakti
Dubara Kya
Judai Shayari
Ab Juda Hoke Bhi Main Tanha Kabhi Hota Nahi
Iss Kadar Manus Hai Wo Ek Kmra Aur Main
Usne Moti Chun Liye, Main Sipiyan Chunta Rha
Apne Apne Zarf Ke Qaidi The Dariya Aur Main
Dua Shayari
Dua Ke Hath Pathar Ho Gaye Hai
Khuda Har Zahan Mein Tuta Hua Hai
Garazti Aandhiya Zaya Hui Hai
Palak Se Tut Kar Aansu Gira Hai
Har Ek Daste-Talab Ko Pukarta Hu Main
Uthao Hath Mang Lo Mujhe Dua Hu Main
Mere Ajal Aur Adab Main Nahi Hai Fark Koi
Abhi Sheru Abhi Khtam Hua Hu Main
Dua Shayari
Koi Lashkar Aayega Tufan Ki Surat Mein
Sar Se Wo Khwabo Ka Khema Uda Le Jayega
Aur Kya Rakha Hai Mere Paas Le Jaane Ko Ab
Mera Qatil Aayega Meri Dua Le jayega
Hasi Shayari
Patte-Patte Pe DastKhat Uske
Gunche Gunche Se Fut Ta Hai Wo
Khil Uthe Peele Phool Sarso Ke
Kesa Savan Sa Has Pada Hai Wo
Kitne Mazboor Ho Gaye Honge
Ankahi Baat Zubaan Pe Lane Ko
Khul Ke Hasna To Sabko Aata Hai
Log Tarste Hai Ek Bahane Ko
Nahi Jo Dil Mein Jagah Toh Najar Mein Rehne Do,
Meri Hayaat Ko Tum Apne Asar Mein Rehne Do,
Main Apni Soch Ko Teri Gali Mein Chhod Aaya Hun,
Mere Wajood Ko Khwabon Ke Ghar Mein Rehne Do.
नहीं जो दिल में जगह तो नजर में रहने दो,
मेरी हयात को तुम अपने असर में रहने दो,
मैं अपनी सोच को तेरी गली में छोड़ आया हूँ,
मेरे वजूद को ख़्वाबों के घर में रहने दो।
Bas Tere Hone Se Mili Meri Dhadkano Ko Zindgi,
Tere Bina Ab Saans Loon Mere Liye Mumkin Nahi,
Mehsoos Yeh Hota Hai Tu Mere Liye Hai Laazmi,
Tere Bina Lamhe Chalein Ab Toh Yeh Mumkin Nahi.
बस तेरे होने से मिली मेरी धडकनों को जिंदगी,
तेरे बिना अब सांस लूँ मेरे लिए मुमकिन नहीं,
महसूस ये होता है तू मेरे लिए है लाजिमी,
तेरे बिना लम्हें चलें अब तो ये मुमकिन नहीं।
Usne Mohabbat, Mohabbat Se Jyada Ki Thi,
Humne Mohabbat Uss Se Bhi Jyada Ki Thi,
Ab Wo Kise Kahenge Mohabbat Ki Intehaan,
Humne Shuruat Hi Intehaan Se Jyada Ki Thi.
उसने मोहब्बत, मोहब्बत से ज्यादा की थी,
हम ने मोहब्बत उस से भी ज्यादा की थी,
अब वो किसे कहेंगे मोहब्बत की इन्तेहाँ,
हमने शुरुआत ही इन्तेहाँ से ज्यादा की थी
Kya Haseen Ittefaq Tha Teri Gali Mein Aane Ka,
Kisi Kaam Se Aaye The Aur Kisi Kaam Ke Na Rahe.
क्या हसीन इत्तेफाक़ था तेरी गली में आने का,
किसी काम से आये थे और किसी काम के ना रहे।
Aaye Ho Aankhon Mein Toh Kuchh Der Toh Thehar Jao,
Ek Umr Lag Jaati Hai Ek Khwaab Sajaane Mein.
आये हो आँखों में तो कुछ देर तो ठहर जाओ,
एक उम्र लग जाती है एक ख्वाब सजाने में।
Subhah UthTe Hi Tere Jism Ki Khushboo Aayi,
Shayad Raat Bhar Tu Ne Mujhe Khwaab Mein Dekha Hai.
सुबह उठते ही तेरे जिस्म की खुशबू आई,
शायद रात भर तूने मुझे ख्वाब में देखा है।
Use Hum Chhod De Lekin Bas Ik Chhoti Si Uljhan Hai,
Suna Hai Dil Se Dharkan Ki Judai Maut Hoti Hai.
उसे हम छोड़ दें लेकिन बस इक छोटी सी उलझन हैं,
सुना है दिल से धड़कन की जुदाई मौत होती है।
Munasib Samjho Toh Sirf Itna Hi Bata Do,
Dil Bechain Hai Bahut, Kahin Tum Udaas Toh Nahi.
मुनासिब समझो तो सिर्फ इतना ही बता दो,
दिल बैचैन है बहुत, कहीं तुम उदास तो नहीं।
Mila Wo Lutf HumKo DoobKar Tere Khayalon Mein,
Kahan Ab Farq Baaki Hai Andhere Aur Ujaalon Mein.
मिला वो लुत्फ हमको डूब कर तेरे ख्यालों में
कहाँ अब फर्क बाकी है अंधेरे और उजालों में।