Allama Iqbal Shayari
Allama Iqbal
Allama Iqbal Yaad Shayari
Tujhay Yaad Kia Nahi Hai, Meray Dil Ka Wo Zamaana,
Wo Adab Gah-E-Mahabbat, Wo Nigah Ka Taaziyaana.
Ye Butaan-E-Asr-E-Haazir Kay Banay Hain Madrisay Mein,
Na Adaa-E-Kaafiraana, Na Taraash-E-Aazarana.
Nahi Is Khuli Fizaa Mein Koi Gosha-E-Faraaghat,
Ye Jahaan Ajab Jahaan Hai, Na Qafass, Na Aashiyaana.
Rag-E-Taak Muntazir Hai, Teri Bearish-E-Karam Ki,
Kay Ajam Kay May-Kadon Mein, Na Rahi May-E-Mughaana.
Meray Ham-Safeer Isay Bhi, Asar-E-Bahaar Samjhay,
Inhain Kiya Khabar, Kay Kia Hai Ye Nawaa-E-Aashiqaana.
Meray Khaak-O-Khoo’n Say Tu Nay Ye Jahaan Kiya Hai Paida,
Sila-E-Shaheed Kia Hai? Tab-O-Taab Jaawidaana.
Teri Banda-Par-Wari Say Meray Din Guzar Rahay Hain,
Na Gila Hai Doston Ka, Na Shikaayat-E-Zamaana.