Famous Poetry Of Urdu Poets

Famous Poetry Of Urdu Poets
Famous Poetry Of Urdu Poets


Hum yaha par urdu ke kuchh umda shayaro ki umda shayari apke liye laye hai.Ye sab shayar urdu jagat ke prasidhh shayar hai aur inhe kisi parichay ki zaroorat nahi, inke naam hi kafi hai inke shayari ki gehrayi ko samajhne ke liye.

Altaf Hussain Hali


Jahaan Mein Haali Kisi Pe Apnay Siwaa Bharosa Na Kijye Ga,

Ye Bhaid Hai Apni Zindagi Ka Bas Is Kaa Charcha Na Kijye Ga.

Ho Laakh Ghairon Ka Ghair Koi Na Jaanta Us Ko Ghair Hargiz,

Jo Apna Saaya Bhi Ho Tou Us Ko Tasawwur Apna Na Kijye Ga.

Isi Mein Hai Khair Hazrat-E-Dil Kay Yaar Bhoola Huwa Hai Ham Ko,

Karay Wo Yaad, Is Ki Bhool Kar Bhi Kabhi Tamanna Na Kijye Ga.

Tumhara Tha Dost-Daar Haali Or Apna Bay-Gaana Ka Raza Jo

Sulook Us Say Kiye Ye Tum Nay Tou Ham Say Kia Kia Na Kijye Ga.

____________________

Amjad Islam Amjad Ghazal


Raqs-E-Shaam-E-Bahaar 

Kabhi Raqs-E-Shaam-E-Bahaar Mei’n Usay Dekhtay,

Kabhi Khuaahisho’n Kay Ghubaar Mei’n Usay Dekhtay.


Magar Aik Najm-E-Sahar-Numa Kahee’n Jaagta,

Teray Hijr Ki Shab-E-Taar Mei’n Usay Dekhtay.

Wo Tha Aik Aks-E-Gureez Paa, So Nahi Ruka,

Katti Umr Dast-E-Diyaar Mei’n Usay Dekhtay.

Wo Jo Bazm Mei’n Raha Bay-Khabar, Koi Or Tha,

Shab-E-Wasl Meray Kinaar Mei’n Usay Dekhtay.

Jo Azal Ki Loh Pay Naqsh Tha, Wohi Aks Tha,

Kabhi Ap Qarya-E-Daar Mei’n Usay Dekhtay.

Wo Jo Kainat Ka Noor Tha, Nahi Door Tha,

Magar Apnay Qurb-O-Jawaar Mei’n Usay Dekhtay.

Yahi Ab Jo Hai Yaha’n Naghma-Khuaa’n, Yahi Khush Bayaa’n,

Kisi Sham Koo-E-Nigaar Mei’n Usay Dekhtay.


____________________

Amjad Islam Amjad

Aayino’n Mei’n Aks

Aayino’n Mei’n Aks Na Ho Tou Hairat Rehti Hai,

Jaisay Khaali Aankho’n Mein Bhi Wahshat Rehti Hai.


Har Dam Dunya Kay Hangamay Ghairay Rakhtay Thay,

Jab Say Tera Dhyaan Lagay Hai Fursat Rehti Hai.


Karni Hai Tou Khul Kay Karo Inkaar-E-Wafa Ki Baat,

Bat Adhoori Reh Jaaye Tou Hasrat Rehti Hai.


Shehr-E-Sukhan Mei’n Aisa Kuch Kar, Izzat Ban Jaaye,

Sab Kuch Mitti Ho Jata Hai, Izzat Rehti Hai.


Bantay Bantay Dhay Jaati Hai Dil Ki Har Tameer,

Khuaahish Kay Behroop Mei’n Shaayad Qismat Rehti Hai.


Saaye Laraztay Rehtay Hain Shehro’n Ki Galiy’on Mei’n,

Rehtay Thay Insaan Jahaa’n Ab Dehshat Rehti Hai.


Mosam Koi Khushboo Lay Kar Aatay Jaatay Hain,

Kia Kia Ham Ko Raat Gaye Tak Wahshat Rehti Hai.


Dhyaan Mei’n Maila Sa Lagta Hai Beeti Yaado’n Ka,

Aksar Us Kay Gham Say Dil Ki Sohbat Rehti Hai.


Phoolo’n Ki Takhti Par Jesay Rango’n Ki Tahreer,

Loh-E-Sukhan Par Aisay ”Amjad” Shohrat Rehti Hai.
____________________

ppp

Ghazal Of Bahadur Shah Zafar


Kabhi Ban Sanwar Kay Jo Aa Gaye, 
To Bahaar-E-Husn Dikha Gaye,

Mere Dil Ko Daagh Laga Gaye, 
Ye Naya Shagoofa Khila Gaye.

Koi Kiun Kisi Ka Lubhaye Dil, 
Koi Kiun Kisi Say Lagaye Dil,

Woh Jo Baichtay Thay Dawa-E-Dil, 
Woh Dukaan Apni Barha Gaye.

Mere Paas Aatay Thay Dam-Ba-Dam, 
Wo Juda Na Hote Thay Aik Dam,

Ye Dikhaaya Charkh Nay Kia Sitam, 
Kay Mujhi Say Aankhein Churaa Gaye.

Jo Milaatay Thay Meray Mu Say Mu, 
Kabhi Lab Say Lab Kabhi Dil Se Dil,

Jo Ghuroor Tha Wo Unhi Pe Tha, 
Wo Sabhi Ghurooron Ko Dhaa Gaye.

Bandhay Kiun Na Aansuon Ki Jhari, 
Kay Ye Hasrat Un Ki Galay Pari, 

Wo Jo Kakulei’n Thein Bari Bari, 
Woh Unhi Kay Paich Mein Aa Gaye.

Yehi Shoq Thaa Humein Dam-Ba-Dam, 
Kay Bahaar Daikhen Gay Ab Kay Ham,

Joo’nhi Chhootay Qaid-E-Qafs Say Ham, 
To Suna Khizaan Kay Din Aa Gaye.

____________________

Bashir Badr Ki Ghazal

Yunhi Bay-Sabab


Yunhi Bay-Sabab Na Phiraa Karo, 
Koi Sham Ghar Bhi Raha Karo,

Wo Ghazal Ki Sachi Kitaab Hai, 
Usay Chupkay Chupkay Parha Karo.


Koi Haath Tak Na Milaaye Ga 
Jo Galay Milo Gay Tapaak Say,

Ye Naye Mizaaj Ka Shehr Hai, 
Zara Faaslay Say Mila Karo.



Mujhay Ishtihaar Si Lagti Hain 
Ye Mahabbaton Ki Kahaaniyaan,

Jo Kaha Nahi Wo Suna Karo, 
Jo Suna Nahi Wo Kaha Karo.



Abhi Raah Mein Kayi Morr Hain,
 Koi Aayega Koi Jaayega,

Tumhein Jis Nay Dil Say Bhulaa Diya, 
Usay Bhoolnay Ki Dua Karo.


Kabhi Husn-E-Parda Nashee’n Bhi Ho Zara 
Aashiqaana Libaas Mein,

Jo Mein Ban Sanwar Kay Kaheen Chaloo’n, 
Meray Saath Tum Bhi Chalaa Karo.


Nahi Bay-Hijaab Wo Chaand Sa 
Kay Nazar Ka Koi Asar Na Ho,

Usay Itni Garmi-E-Shoq Say 
Bari Dair Tak Na Taka Kro.


Ye Khizaa’n Ki Zard Si Shaal Mein 
Jo Udaas Pairr Kay Paas Hai,

Ye Tumhaaray Ghar Ki Bahaar Hai, 
Isay Aanuo’n Say Hara Karo.


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *