Daagh Dehlvi Shayari


Daagh Dehlvi Shayari
Daagh Dehlvi Shayari




Jo Dikhaao Bhi Na Daikhoo’n Rukh-E-Pur Hijaab Hargiz, 

Ye Wo Aankh Hai Kay Daikha Nahi Jis Nay Khuaab Hargiz.


Meri Kasrat-E-Gunah Ki Koi Had Nahi Rahi Hai,

Na Gham-E-Azaab Mujhko, Na Gham-E-Hisaab Hargiz.

Meri Aah Aatshee’n Hai, K Dimagh-E-Meh’jabe’n Hai,

Ye Baland Aasmaa’n Par Nahi Aaftab Hargiz.

Wo Hai Tera Mushaf-E-Rukh Agar Us Ko Daikh Paayen,

To Ye Kaafir-E-Kitaabi Na Chhuwe’n Kitaab Hargiz.

Agar Aap Mol Laitay To Tameez Tishna Hoti,

Milay Muft Ki Jo Zahid Wo Nahi Sharaab Hargiz.

Na Mizaj-E-Yar Badla Na Mera Naseeb Palta,

Nahi Ay Falak Hamaisha Tujhay Inqlaab Hargiz.

Wo Asar Say Main Dara Hon Ye Duaaei’n Maangta Hon,

Kay Meri Dua Ilaahi Na Ho Mustajaab Hargiz.

Ye Baja Kay Mana’ Hoga Ramazaa’n Mein Aab-O-Daana,

Ye Ghazab K Tees Din Tak Na Piye’n Sharaab Hargiz. 

Kabhi DAAGH Toba Ki Hai, Kabhi Phir Sharaab Pi Hai,

Na Azaab Hi Milay Ga, Na Hamein Sawaab Hargiz.

_______________

Kitaab-E-Ishq K Ultay Waraq Awwal Say Aakhir Tak,

Magar Samjhay Na Hum Is Ka Sabaq Awwal Say Aakhir Tak.


Buri Hai Ibtida Bhi Intiha Bhi Teri Ulfat Ki,
Kay Is Mein Hain Gham-O-Ranj-O-Q­alaq Awwal Say Aakhir Tak.



Kabhi Hai Arsh-E-Aa’laa Par Kabhi Taht-Us-Saraa Mein Hai,

Khulay Hain Shaikh Par Chaudah Tabaq Awwal Say Aakhir Tak.

May-E-Angoor Tohfay Mein Tujhy Daita Hoo’n Ay Zahid, 
Rahay Ga Taiz Yaksaan Ye Araq Awwal Say Aakhir Tak. 


Hazaaron Dost Dushman Bazm Mein Us Kay Rahay Lekin,

Raha Ek Shakl Par Nazm-O-Nasaq Awwal Say Aakhir Tak.


Bahaar-E-Aariz-E-Gul-Goo’n Say Teray Usko Kia Nisbat,
Nahi Ek Rang Par Rehti Shafaq Awwal Say Aakhir Tak.


Bashar Ko Gar Na Milti, Kis Ko Milti Ishq Ki Dolatt?

Nahee’n Tha Koi Is Ka Mustahaq Awwal Say Aakhir Tak.


Likhon Us Ko Jawaab Ay Daagh Kiya Main Sakhht Hairaan Hoo’n,
Likhay Hain Khatt Mein Mazmoon-E-Idaq Awwal Say Aakhir Tak.

_______________


Kabay Ki Hai Hawas Kabhi Koo-E-Butaa’n Ki Hai,
Mujh Ko Khabar Nahi Meri Mitti Kahaa’n Ki Hai.


Sun Kar Mera Fasaana Unhain Lutf Aagay,
Suntaa Hoon Ab Kay Roz Talab Qissa Khuaa’n Ki Hai.


Paighaambar Ki Baat Par Aapas Mein Ranj Kia?
Meri Zubaa’n Ki Hai Na Tumhaari Zubaa’n Ki Hai.


Kuch Taazgi Ho Lazzat-E-Aazaar Kay Liye,
Har Dam Mujhay Talaash Naye Aasmaa’n Ki Hai.


Jaa’n-Bar Bhi Ho Gaye Hain Bahut Mujh Say Neem Jaa’n,
Kia Gham Hai Ay Tabeeb Poori Wahaa’n Ki Hai.


Hasrat Baras Rahi Hai Hamaaray Mazaar Par,
Kehtay Sab Ye Qabr Kisi No-Jawaa’n Ki Hai.


Waqt-E-Khiraam-E-Naaz Dikhaa Do Juda Juda,
Ye Chaal Hashr Ki Ye Rawish Aasmaa’n Ki Hai.


Fursat Kahaa’n Kay Ham Say Kisi Waqt Tou Milay,
Din Ghair Ka Hai Raat Kisi Paasbaa’n Ki Hai.


Qaasid Ki Guftugoo Say Tasalli Ho Kis Tarah,
Chhupti Nahi Wo Baat Jo Teri Zubaa’n Ki Hai.


Jor-E-Raqeeb-O-Zulm-E-Falak Ka Nahi Khayaal,
Tashweesh Aik Khaatir-E-Naa-Mehrbaa’n Ki Hai.


Sun Kar Meraa Fasaana-E-Gham Us Nay Ye Kahaa,
Ho Jaaye Jhoot Such, Yehi Khoobi Bayaa’n Ki Hai.


Daaman Sanbhaal, Baadh Kamar, Aastee’n Charhaa,
Khanjar Nikaal Dil Mein Agar Imtihaa’n Ki Hai.


Har Har Nafas Mein Dil Say Nikalnay Laga Ghubaar,
Kia Jaanay Gard-E-Raah Ye Kis Kaarwaa’n Ki Hai.


Kiun-Kar Na Aatay Khuld Say Aadam Zameen Par,
Mozoo’n Wahee’n Wo Khoob Hai Jo Suntay Jahaa’n Ki Hai.


Taqdeer Say Ye Pooch Rahaa Hoo’n Kay Ishq Mein,
Tadbeer Koi Bhi Sitam-E-Naaghaa’n Ki Hai.


Urdu Hai Jis Kaa Naam Ham Hi Jaanaty Hain “Daagh”,
Hindoostaa’n Mein Dhoom Hamaari Zubaa’n Ki Hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *