Famous Poetry Of Urdu Poets

Poetry Of Urdu Poets
Poetry Of Urdu Poets



Hum yaha par urdu ke kuchh umda shayaro ki umda shayari apke liye laye hai.Ye sab shayar urdu jagat ke prasidhh shayar hai aur inhe kisi parichay ki zaroorat nahi, inke naam hi kafi hai inke shayari ki gehrayi ko samajhne ke liye.


Altaf Hussain Hali


Jahaan Mein Haali Kisi Pe Apnay Siwaa Bharosa Na Kijye Ga,

Ye Bhaid Hai Apni Zindagi Ka Bas Is Kaa Charcha Na Kijye Ga.

Ho Laakh Ghairon Ka Ghair Koi Na Jaanta Us Ko Ghair Hargiz,

Jo Apna Saaya Bhi Ho Tou Us Ko Tasawwur Apna Na Kijye Ga.

Isi Mein Hai Khair Hazrat-E-Dil Kay Yaar Bhoola Huwa Hai Ham Ko,

Karay Wo Yaad, Is Ki Bhool Kar Bhi Kabhi Tamanna Na Kijye Ga.

Tumhara Tha Dost-Daar Haali Or Apna Bay-Gaana Ka Raza Jo

Sulook Us Say Kiye Ye Tum Nay Tou Ham Say Kia Kia Na Kijye Ga.

____________________

Amjad Islam Amjad Ghazal


Raqs-E-Shaam-E-Bahaar 


Kabhi Raqs-E-Shaam-E-Bahaar Mei’n Usay Dekhtay,

Kabhi Khuaahisho’n Kay Ghubaar Mei’n Usay Dekhtay.


Magar Aik Najm-E-Sahar-Numa Kahee’n Jaagta,

Teray Hijr Ki Shab-E-Taar Mei’n Usay Dekhtay.

Wo Tha Aik Aks-E-Gureez Paa, So Nahi Ruka,

Katti Umr Dast-E-Diyaar Mei’n Usay Dekhtay.

Wo Jo Bazm Mei’n Raha Bay-Khabar, Koi Or Tha,

Shab-E-Wasl Meray Kinaar Mei’n Usay Dekhtay.

Jo Azal Ki Loh Pay Naqsh Tha, Wohi Aks Tha,

Kabhi Ap Qarya-E-Daar Mei’n Usay Dekhtay.

Wo Jo Kainat Ka Noor Tha, Nahi Door Tha,

Magar Apnay Qurb-O-Jawaar Mei’n Usay Dekhtay.

Yahi Ab Jo Hai Yaha’n Naghma-Khuaa’n, Yahi Khush Bayaa’n,

Kisi Sham Koo-E-Nigaar Mei’n Usay Dekhtay.


____________________

Amjad Islam Amjad

Aayino’n Mei’n Aks

Aayino’n Mei’n Aks Na Ho Tou Hairat Rehti Hai,

Jaisay Khaali Aankho’n Mein Bhi Wahshat Rehti Hai.


Har Dam Dunya Kay Hangamay Ghairay Rakhtay Thay,

Jab Say Tera Dhyaan Lagay Hai Fursat Rehti Hai.


Karni Hai Tou Khul Kay Karo Inkaar-E-Wafa Ki Baat,

Bat Adhoori Reh Jaaye Tou Hasrat Rehti Hai.


Shehr-E-Sukhan Mei’n Aisa Kuch Kar, Izzat Ban Jaaye,

Sab Kuch Mitti Ho Jata Hai, Izzat Rehti Hai.


Bantay Bantay Dhay Jaati Hai Dil Ki Har Tameer,

Khuaahish Kay Behroop Mei’n Shaayad Qismat Rehti Hai.


Saaye Laraztay Rehtay Hain Shehro’n Ki Galiy’on Mei’n,

Rehtay Thay Insaan Jahaa’n Ab Dehshat Rehti Hai.


Mosam Koi Khushboo Lay Kar Aatay Jaatay Hain,

Kia Kia Ham Ko Raat Gaye Tak Wahshat Rehti Hai.


Dhyaan Mei’n Maila Sa Lagta Hai Beeti Yaado’n Ka,

Aksar Us Kay Gham Say Dil Ki Sohbat Rehti Hai.


Phoolo’n Ki Takhti Par Jesay Rango’n Ki Tahreer,

Loh-E-Sukhan Par Aisay ”Amjad” Shohrat Rehti Hai.

____________________

Ghazal Of Bahadur Shah Zafar


Kabhi Ban Sanwar Kay Jo Aa Gaye, 
To Bahaar-E-Husn Dikha Gaye,

Mere Dil Ko Daagh Laga Gaye, 
Ye Naya Shagoofa Khila Gaye.

Koi Kiun Kisi Ka Lubhaye Dil, 
Koi Kiun Kisi Say Lagaye Dil,

Woh Jo Baichtay Thay Dawa-E-Dil, 
Woh Dukaan Apni Barha Gaye.
Mere Paas Aatay Thay Dam-Ba-Dam, 
Wo Juda Na Hote Thay Aik Dam,

Ye Dikhaaya Charkh Nay Kia Sitam, 
Kay Mujhi Say Aankhein Churaa Gaye.

Jo Milaatay Thay Meray Mu Say Mu, 
Kabhi Lab Say Lab Kabhi Dil Se Dil,

Jo Ghuroor Tha Wo Unhi Pe Tha, 
Wo Sabhi Ghurooron Ko Dhaa Gaye.

Bandhay Kiun Na Aansuon Ki Jhari, 
Kay Ye Hasrat Un Ki Galay Pari, 

Wo Jo Kakulei’n Thein Bari Bari, 
Woh Unhi Kay Paich Mein Aa Gaye.

Yehi Shoq Thaa Humein Dam-Ba-Dam, 
Kay Bahaar Daikhen Gay Ab Kay Ham,

Joo’nhi Chhootay Qaid-E-Qafs Say Ham, 
To Suna Khizaan Kay Din Aa Gaye.

____________________


Bashir Badr Ki Ghazal

Yunhi Bay-Sabab


Yunhi Bay-Sabab Na Phiraa Karo, 
Koi Sham Ghar Bhi Raha Karo,

Wo Ghazal Ki Sachi Kitaab Hai, 
Usay Chupkay Chupkay Parha Karo.
Koi Haath Tak Na Milaaye Ga 
Jo Galay Milo Gay Tapaak Say,

Ye Naye Mizaaj Ka Shehr Hai, 
Zara Faaslay Say Mila Karo.

Mujhay Ishtihaar Si Lagti Hain 
Ye Mahabbaton Ki Kahaaniyaan,

Jo Kaha Nahi Wo Suna Karo, 
Jo Suna Nahi Wo Kaha Karo.

Abhi Raah Mein Kayi Morr Hain,
 Koi Aayega Koi Jaayega,

Tumhein Jis Nay Dil Say Bhulaa Diya, 
Usay Bhoolnay Ki Dua Karo.

Kabhi Husn-E-Parda Nashee’n Bhi Ho Zara 
Aashiqaana Libaas Mein,

Jo Mein Ban Sanwar Kay Kaheen Chaloo’n, 
Meray Saath Tum Bhi Chalaa Karo.

Nahi Bay-Hijaab Wo Chaand Sa 
Kay Nazar Ka Koi Asar Na Ho,

Usay Itni Garmi-E-Shoq Say 
Bari Dair Tak Na Taka Karo.

Ye Khizaa’n Ki Zard Si Shaal Mein 
Jo Udaas Pairr Kay Paas Hai,

Ye Tumhaaray Ghar Ki Bahaar Hai, 
Isay Aanuo’n Say Hara Karo.


____________________

Ameer Meenai

Jab Talak Hast Thay Dushwaar Tha Paana Tera,
Mitt Gaye Ham, Tou Mila Ham Ko Thikaana Tera.
 

Na Jihat Teray Liye Hai Na Koi Jism Hai Tu,
Chashm-E-Zaahir Ko Hai Mushkil Nazar Aana Tera.

Shash Jihat Chhaan Chukay Ham Tou Khula Ham Pe Ye Haal,
Rag-e-Gardan Say Hai Nazdeek Thikaana Tera.

Ab Tou Peeri Mein Nahi Poochnay Waala Koi,
Kabhi Ay Husn-E-Jawaani! Tha Zamaana Tera.

Ay Sadaf Chaak Karay Ga Yehi Seena Ek Din,
Tu Ye Samjhi Hai Kay Gohar Hai Yagaana Tera.

Daur Aglay Shu’araa Kaa Tha Kabhi, Aur AMEER,
Ab Tou Hai Mulk-E-Ma’aani Mein Zamaana Tera.

____________________

Daagh-E-Gham Roz-E-Azal Hi Mil Gaya,

Tann Mein Jaan Aany Say Pehly Dil Gaya.

Kocha-E-Qaatil Mein Apna Dil Gaya,
Khaak Mein Milnay Ka Rasta Mil Gaya.

Khuaab Mein Aankhein Jo Talwo’n Say Milee’n,
Bolyy Uff Uff! Paao’n Mera Chhil Gaya.

Uth Kay Jaa Betha Jo Un Kay Paas Mein,
Bolay Kuch Mil Bethny Say Mil Gaya?

Muskuraanay Mein Khula Kia Wo Dahan,
Ghuncha-E-Tasveer Goya Khil Gaya.

Maangnay Par Bosay Kia Kaati Zubaa’n,
Ab Duaa Dainay Say Bhi Saa’il Gaya.

Kia Mila Mujh Ko Mila Kar Khaak Mein?
Haan Laqab Aashiq-Kashi Ka Mil Gaya.

Waa’ay Qismat Ghafil Aaya Mein Ameer
Umr Bhar Ghaafil Raha, Ghaafil Gaya.

____________________

Aik Hai Meray Hazar Or Safar Ki Soorat,
Ghar Mein Hoon Ghar Say Nikal Kar Bhi Nazar Ki Soorat.

Chashm-E-Ush’shaaq Say Pinhaa’n Ho Nazar Ki Soorat,
Wasl Say Jaan Churaatay Ho Kamar Ki Soorat.

Hoon Wo Bulbul Kay Jo Sayyaad Nay Kaatay Meray Parr,
Gir Gaye Phool Har Ek Shaakh Say Par Ki Soorat.

Teray Chehray Ki Malaahat Jo Falak Nay Dekhi,
Phhatt Gaya Mehr Say Dil Sheer-E-Sahar Ki Soorat.

Jhaank Kar Rozan-E-Deewaar Say Wo Tou Bhaagay,
Reh Gaya Khol Kay Aaghosh Mein Dar Ki Soorat.

Taigh Garden Pe Kay Hai Sang Par Aahein Dam-E-Zibh,
Khoon Kay Qatray Nikaltay Hain Sharar Ki Soorat.

Kon Kehta Hai Milay Khaak Mein Aansu Meray,
Chhup Rahi Gard Yateemi Mein Guhar Ki Soorat.

Nahi Aata Hai Nazar, Al-Madad Ay Khizr-E-Ajal,
Jaada-E-Raah-E-Adam Moo-E-Kamar Ki Soorat.

Parr Gayin Kuch Jo Meray Garm Lahu Ki Chheentein,
Urr Gayi Johar-E-Shamsheer Sharar Ki Soorat.

Qabr Hi Waadi-E-Ghurbat Mein Banay Gi Ek Din,
Or Koi Nazar Aati Nahi Ghar Ki Soorat.

Khushk Sairo’n Tan-E-Shaa’ir Ka Lahu Hota Hai,
Tab Nazar Aati Hai Ek Misra-E-Tarr Ki Soorat.

Aafat Aaghaaz-E-Jawaani Hi Mein Aayi Mujh Par,
Bujh Gaya Shaam Say Dil Shamma’-E-Sahar Ki Soorat.

Jalwa-Gar Baam Pe Wo Mehr-E-Laqaa Hai Shaayad,
Aaj Khursheed Say Milti Hai Qamar Ki Soorat.

Dahan-E-Yaar Ki Toseef Karri Manzil Hai,
Chust Mazmoon Ki Bandish Ho Kamar Ki Soorat.

Nau-Bahaar-E-Chaman-E-Gham Hai Ajab Roz-Afzoo’n,
Barhti Jaati Hai Girah Dil Ki Samar Ki Soorat.

Hoon Bagolay Ki Tarah Say Mein Saraapa Gardish,
Raat Din Paao’n Bhi Chakkar Mein Hain Sar Ki Soorat.

Bearish-E-Sang-E-Hawaadis Na Ho Kis Tarh ”Ameer”
Aah Hai Shakl-E-Shajar, Ashk Samar Ki Soorat

____________________

Aitibar Sajid Urdu Poetry



Maal-O-Zar Kay Kisi Anbaar Say Kia Lena Hai,

Ishq Ko Garmi-E-Baazaar Say Kia Lena Hai.

Teray Kunbay Ki Wiraasat Say Hamein Kia Matlab?
Tujh Say Matlab Hai Pareewaar Say Kia Lena Hai.

Umr Bhar Saath Jo Dena Hai Tou Phir Baat Karo,
Ham Ko Mehmaan Adaa-Kaar Say Kia Lena Hai.

Konsay Ham Bhi Farishtay Hain Kay Tujh Ko Jaanchai’n,
Teri Seerat, Teray Kirdaar Say Kia Lena Hai.

Jhonpri Apni Banaa Lengay Kisi Goshay Mein,
Qasr-E-Shaahi! Teray Me’maar Say Kia Lena Hai.

Apnay Ashko’n Kay Liye Jaib Mein Roomaal Rakho,
Kaam Apna Kisi Gham-Khaar Say Kia Lena Hai.

Barf-Baari Ka Wo Sheedaayi Hai SAJID Us Ko,
Teray Jaltay Huwe Ash’aar Say Kia Lena Hai.
____________________

Ahmad Nadeem Qasmi Shayari 


Justuju Shayari



Mujhay Dukh Ye Hai Kay Bahaar Mein Bhi Tuyoor Bay Par-O-Baal Hain,

Meray Ham-Safar! Na Malool Ho, Ye Malaal Meray Malaal Hain.


Meri Bay-Kali Say Khafa Na Ho, Meri Justuju Ka Bhram Na Kho,
Tujhay Ek Jawaab Wabaal Hai, Meray Lab Pe Laakh Sawaal Hain.

Wo Thi Ek Lakeer Si Aabjoo, Ye Hai Chaar Soo Ki Fazaa-E-Hoo,
Wo Ghari Thi Teray Wisaal Ki,Ye Firaaq Kay Mah-O-Saal Hain.

Ye Ajeeb Husn-O-Qayaas Hai, Kay Jo Door Hai Wohi Paas Hai,
Ye Tasawwuraat Kay Waahimay, Meray Dasht-E-Gham Kay Ghazaal Hain.

Ye Jo Arsa-Gaah-E-Khayaal Hai, Tera Fan Hai Tera Jamaal Hai,
Meray Shai’r Hon Kaya Adab Mera, Ye Sabhi Teray Khad-O-Khaal Hain.

Ye Ajab Tarah Ka Tazaad Hai, Ye Dil-O-Nazar Ka Fasaad Hai,
Meray Tajribay Hain Kamaal Par, Meray Dard Ro Ba Zawaal Hain.
____________________


Ahmad Faraz Herat Touching Shayari




Guzraa Hoon Jis Gali Say Bhi Pathar Lagay Mujhay,

Aisay Bhi Kia Thay La’l-O-Jawaahar Lagay Mujhay.


Lo Ho Chuki Shifaa Kay Mudawaa-E-Dard-E-Dil,
Ab Teri Dastaras Say Bhi Baahar Lagay Mujhay.

Tarsaa Diyaa Hai Abr-E-Guraizaa’n Nay Is Qadar,
Barsay Jo Boond Bhi Tou Samandar Lagay Mujhay.

Thaamay Raho Gay Jism Ki Deewaar Taabkay,
Ye Zalzala Tou Rooh Kay Andar Lagay Mujhay.

Gar Roshni Yehi Hai Tou Ay Bad-Naseeb Shehr,
Ab Teeragi Hi Tera Muqaddar Lagay Mujhay.

Manzil Kahaa’n Ki Zaad-E-Safar Ko Bachaaiyo!
Ab Rahzano’n Ki Niy’yat-E-Rahbar Lagay Mujhay.

Wo Mutma’in Kay Sab Ki Zubaa’n Kaat Di Gayi,
Aisi Khamoshiyo’n Say Magar Darr Lagay Mujhay.

Wo Qaht-E-Harf-E-Haq Hai Kay Is Ahd Mei’n ”Faraz”,
Khud Sa Gunaah’gaar Payambar Lagay Mujhay.
____________________


Abdul Hameed Adam Sufi Shayari


Wo Jo Teray Faqeer Hotay Hain….




Wo Jo Teray Faqeer Hotay Hain,

Aadmi Bay-Nazeer Hotay Hain.

Teri Mahfil Mein Bethnay Waalay,
Kitnay Roshan Zameer Hotay Hain.

Phool Daaman Mein Chand Rakh Lijiye,
Raastay Mein Faqeer Hotay Hain.

Zindagi Kay Haseen Tarkash Mein,
Kitnay Bay-Rahm Teer Hotay Hain.

Wo Parinday Jo Aankh Rakhtay Hain,
Sab Say Pehlay Aseer Hotay Hain.

Daikhnay Waala Ek Nahi Milta,
Aankh Waalay Kaseer Miltay Hain.

Jin Ko Daulat Haqeer Lagti Hai,
Uff! Wo Kitnay Ameer Hotay Hain.

Jin Ko Qudrat Nay Husn Bakhsha Ho,
Qudratan Kuch Shareer Hotay Hain.

Hai Khushi Bhi Ajeeb Shay Lekin,
Gham Baray Dil-Pazeer Hotay Hain.

Ay ADAM Ehtiyaat Logon Say,
Log Munkar Nakeer Hotay Hain.
____________________

Akbar Allahbadi Poetry


Wo Chaman Na Raha


Wo Hawaa Na Rahi, Wo Chaman Na Raha, Wo Gali Na Rahi Wo Hasee’n Na Rahay,


Wo FaLak Na Raha Wo Samaa’n Na Raha, Wo Makaan Na Rahay Wo Makee’n Na Rahay.

________________


Wo Gulo’n Mein GuLo’n Ki Si Bu Na Rahi, Wo Azeezon Mein Lutf Ki Khoo Na Rahi,


Wo Haseeno’n Mein Rang-E-Wafaa Na Raha, Kaheen Or Ki Kia Wo Hamee’n Na Rahay.

________________

Na Wo Aan Rahi Na Umang Rahi, Na Wo Rindi-O-Zohd Ki Jang Rahi,

Soo-E-Qibla Nigaahon K Rukh Na Rahay, Or Dair Pe Naqsh-E-Jabee’n Na Rahay.
________________

Na Wo Jaam Rahay Na Wo Mast Rahay Na Fidaai-E-Ahd-E-Alast Rahay,

Wo Tareeqa-E-Kaar-E-Jahaa’n Na Rahaa, Wo Mashaaghil-E-Ronaq-E-Dee’n Na Rahay.
________________

Hamein Laakh Zmaana Lubhaaye Tou Kia, Na’ey Rang Jo Charkh DiKhaaye To Kia?

Ye Muhaal Hai Ahl-E-Wafa K Liye Gham-E-Millat-O-Ulfat-E-Dee’n Na Rahay.
________________
Tere Koocha-E-Zulf Mein Dil Hai Mera, Ab Usay Main Smjhta Hoo’n Daam-E-Bala,

Ye Ajeeb Sitam Hai Ajeeb Jafa, K Yahaan Na Rahay Tou Kahee’n Na Rahay.
________________
Ye Tumhaaray Hi Dam Se Hai Bazm E Tarab, Abhi Jaao Na Tum Na Karo Ye Ghazab,

Koi Baith K Lutf Uthaaye Ga Kia, K Jo Ronaq-E-Bazm Tumhee’n Na Rahay.
________________
Jo Thee’n Chashm-E-Falak Ki Bhi Noor-E-Nazar, Wohi Jin Pe Nisaar Thay Shams-O-Qamar,

So Ab Aisi Miti Hain Wo Anjumanain, K Nishaan Bhi Un K Kahee’n Na Rahay.
________________
Wohi Sooraten Reh Ga’een Paish-E-Nazar, Jo Zmaanay Ko Phairen Idhar Se Udhar,

Magar Aisay Jamaal-E-Jahaan Aaraa Jo Thy Ronaq-E-Ru-E-Zamee’n Na Rahay.
________________

Gham-O-Ranj Mein AKBAR Agar Hai Ghiraa, Tou Samajh Lay K Ranj Ko Bhi Hai Fanaa,

Kisi Shay Ko Nahi Hai Jahaan Mein Baqaa, Wo Ziyaada Malool-O-Hazee’n Na Rahay
_______________

Akabar Allahabaadi Mohabbat Shayari

Gham Nahi Is Ka Jo Shohrat Ho Gayi,
Ho Gayi Ab Tou Mahabbat Ho Gayi.

Ab Kahaa’n Aglay Say Wo Raaz-O-Niyaaz,
Mil Gaye Saahab Salaamat Ho Gayi.

Haaye Kia Dil-Kash Hai Us Ki Chashm-E-Mast,
Aankh Miltay Hi Mahabbat Ho Gayi.

Chaudhwaa’n Saal Un Ko Hai Naam-E-Khuda,
Umr Aafat Thi Qayaamat Ho Gayi.

Naaz Say Us Nay Jo Dekha Sheikh Ko,
Un Ki Dee’n-Daari Hi Rukhsat Ho Gayi.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *