Worldsbest Intezaar Shayari




Aankhon Ke Intezaar Ka De Kar Hunar Chala Gaya,
Chaha Tha Ek Shakhs Ko Jaane Kidhar Chala Gaya,
Din Ki Woh Mehfilein Gayin Raaton Ke RatJage Gaye,
Koi Samet Kar Mere Shaam-o-Sahar Chala Gaya.





आँखों के इंतज़ार का दे कर हुनर चला गया,

चाहा था एक शख़्स को जाने किधर चला गया,

दिन की वो महफिलें गईं रातों के रतजगे गए,

कोई समेट कर मेरे शामसहर चला गया।

________________


Aankhein Rahengi Shaam-o-Sehar Muntazir Teri,
Aankhon Ko Saunp Denge Tera Intezaar Hum.



आँखें रहेंगीं शामशहर मुन्तज़िर तेरी,

आँखों को सौंप देंगे तेरा इंतज़ार हम।

________________

Haalaat Kah Rahe Hain Mulakaat Nahi Mumkin,
Ummeed Kah Rahi Hai Thhoda Intezaar Kar.




हालात कह रहे हैं मुलाकात नहीं मुमकिन,

उम्मीद कह रही है थोड़ा इंतज़ार कर।
_______________________


Mere Dil Ki Ummidon Ka Hausla To Dekho,
Intezaar Uska Hai Jise Mera Ehsaas Tak Nahi.




मेरे दिल की उम्मीदों का हौसला तो देखो,

इंतज़ार उसका है जिसे मेरा एहसास तक नहीं।

_______________________

Aadhi Se Jyada Shabe-Gham Kaat Chuka Hun,
Ab Bhi Agar Aa Jao To Yeh Raat Badi Hai.



आधी से ज्यादा शबेग़म काट चुका हूँ,

अब भी अगर  जाओ तो ये रात बड़ी है।

_______________________

Jaan Dene Ko Kaha Maine Toh HansKar Bole,
Tum Salamat Raho Har Roj Ke Marne Wale,

Aakhiri Waqt Bhi Pura Na Kiya Vada-e-Wasl,

Aap Aate Hi Rahe Mar Gaye Marne Wale.

________________

जान देने का कहा मैंने तो हँसकर बोले,

तुम सलामत रहो हर रोज के मरने वाले,

आखिरी वक़्त भी पूरा  किया वादावस्ल,

आप आते ही रहे मर गये मरने वाले।

_______________________

Bas Yun Hi Umeed Dilate Hain Zamane Wale,
Kab Laut Ke Aate Hain Chhod Kar Jaane Wale.



बस यूँ ही उम्मीद दिलाते हैं ज़माने वाले,

कब लौट के आते हैं छोड़ कर जाने वाले।

_______________________

Dil Jalao Ya Diye Aankhon Ke Darwaze Par,

Waqt Se Pehle Toh Aate Nahi Aane Wale.


दिल जलाओ या दिए आँखों के दरवाज़े पर,

वक़्त से पहले तो आते नहीं आने वाले।


_______________________

Intezaar ki arzoo ab kho gayi hai,
Khamoshion ki aadat si ho gayi hai,

Na shiqwa raha na shiqayat kisi se,

Bas ek mohabbat hai,

Jo inn tanhayion se ho gayi hai.


इंतज़ार की आरज़ू अब खो गयी है,

खामोशियों की आदत सी हो गयी है,

न शिकवा रहा न शिकायत किसी से,

बस एक मोहब्बत है,

जो इन तन्हाइयों से हो गई है।
_______________________

Roti Hui Ankho Me Intzar Hota Hai,

Na Chahte Huye Bhi Pyar Hota Hai,

Kyo Dekhte Hai Hum Wo Sapne,

Jinke Tutne Per Bhi Unke Sach Hone Ka Intzar Hota Hai.

रोती हुई आँखों में इंतज़ार होता है ,

 चाहते हुए भी प्यार होता है ,

क्यों देखते है हम वो सपने ,

जिनके टूटने पर भी उनके सच होने का इंतज़ार होता है.
________________

Wo Kah Kar Gai Thi Ki Lautkar Aaungi,
Mein Intajaar Na Karata To Kya Karta,

Wo Jhooth Bhi Bol Rahi Thi Bade Salike Se,

Main Etabar Na Karta To Kya Karta.



वो कह कर गई थी कि लौटकर आऊँगी,

मैं इंतजार ना करता तो क्या करता,

वो झूठ भी बोल रही थी बड़े सलीके से,
मैं एतबार ना करता तो क्या करता।

________________

Tera Intezar teri justju

yeh hi karte hai, isi ki tamana hai
hum se puchiye intizar ki syah-raat

jab wo gaye the phir na laut ane le liye.

________________

तेरा इंतज़ार तेरी जुस्तजू 

यह ही करते है , इसी की तमना है 

हम से पूछिये इंतज़ार की स्याह –रात 

जब वो गए थे फिर  लौट आने के लिए

________________
Udas Aankhon Mein Apani Karaar Dekha Hai,
Pahali Baar Use Beqaraar Dekha Hai,

Jise Khabar Na Hoti Thi Mere Aane Jaane Ki,

Uski Aankhon Mein Ab Intazaar Dekha Hai.


उदास आँखों में अपनी करार देखा है,

पहली बार उसे बेक़रार देखा है,

जिसे खबर ना होती थी मेरे आने जाने की,

उसकी आँखों में अब इंतज़ार देखा है।

__________________
Tere Intjar Mein Kab Se Udas Baithe Hain,
Tere Didar Mein Ankhe Bichaye Baithe Hain,

Tu Ek Nazar Ham Ko Dekh Le Bas,

Is Aas Mein Kab Se Bekrar Baithe Hain.



तेरे इंतजार में कब से उदास बैठे हैं,

तेरे दीदार में आँखे बिछाये बैठे हैं,

तू एक नज़र हम को देख ले बस,

इस आस में कब से बेकरार बैठे हैं।


__________________

Woh Kareeb Hi Na Aaye To Izhaar Kya Karte,

Khud Bane Nishana To Shikaar Kya Karte,
Mar Gaye Par Khuli Rakhi Aankhein,
Is Se Zyada Kisi Ka Intezar Kya Karte.
वो करीब ही न आये तो इज़हार क्या करते,

खुद बने निशाना तो शिकार क्या करते,

मर गए पर खुली रखी आँखें,

इससे ज्यादा किसी का इंतजार क्या करते!

__________________

Aapki Yaad Dil Ko Bekraar Karti Hai,
Nazar Talaash Aapko Bar-bar Karti Hai,

Gila Nahi Jo Aap Door Hain Humse,

Aapki To Judaai Bhi Humse Pyaar Karti Hai.



आप की याद दिल बेकरार करती है,

नजर तलाश आपको बारबार करती है,

गिला नहीं जो हम दूर है आपसे,

आप की जुदाई भी हमसे प्यार करती है!


_______________

Dil Ko Tha Aapka Besabri Se Intjaar,
Palke Bhi Thi Aap Ki Ek Jhalak Ko Bekraar,

Aap Ke Aane Se Aayi Hai Kuchh Aisi Bahar,

Ki Dil Bas Mange Aapke Liye Khushiyan Beshumar!



दिल को था आपका बेसबरी से इंतजार,

पलके भी थी आपकी एक झलक को बेकरार,

आपके आने से आयी है कुछ ऐसी बहार,

कि दिल बस मांगे आपके लिये खुशियाँ बेशुमार!


________________

Itna Aitbaar To Apni Dhadkanon Par Bhi Humne Na Kiya;

Jitna Aapki Baaton Par Karte Hain;
Itna Intezar To Apni Saanson Ka Bhi Na Kiya;

Jitna Aapke Milne Ka Karte Hain!



इतना ऐतबार तो अपनी धड़कनों पर भी हमने  किया ;

जितना आपकी बातों पर करते हैं ;

इतना इंतज़ार तो अपनी साँसों का भी  किया ;

जितना आपके मिलने का करते हैं !


_______________


Ruthi Hui Aankhon Mein Intezar Hota Hai;

Na Chahte Hue Bhi Pyar Hota Hai;
Kyun Dekhte Hain Hum Wo Sapne;

Jinke Tutne Par Bhi Unke Sach Hone Ka Intezar Hota Hai!



रूठी हुई आँखों में इंतज़ार होता है ;

 चाहते हुए भी प्यार होता है ;

क्यों देखते हैं हम वो सपने ;

जिनके टूटने पर भी उनके सच होने का इंतज़ार होता है !


_________________


 Teri Aankhon mein jahan dekhta hoon 
main apni najroon se tujhe dekhta hoon
Tu Dhoodh Rahi Hogi Mujhko Wahan

Aur Mein jamano Se Teri Raah Dekh Raha Hoon.



तेरी आँखो में जहाँ देखता हूँ

मैं अपनी नज़रो से तुझे देखता हूँ

तुम ढूँढ रही होगी मुझको वहां 

और मैं जमानो से तेरी राह यहाँ देख रहा हूँ


__________________


Dil Diya Aitbar Ki Had Thi

Jaan De ye Yeh Mere Pyar Ki Had Thi
Mar Ke Bhi Aankhen Khuli Reh Gayi

Aur Kuch Nahi Yeh Teri Intezar Ki Had Thi



दिल दिया ऐतबार की हद थी 

जान दी यह मेरे प्यार की हद थी 

मर गए लेकिन रही मेरी आँखें

यह तो तेरे इंतज़ार की हद थी





Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *