Zindagi 


Worlds Best Shayari On Zindgi




Maan Main Girvi Rakhu Darbaar Mein

Ye Hunar Mujhko Kabhi Aya Nahi


Mai Nadi Hu Veg Se Bhti Rahi

Rah Mein Rukna Mujhe Bhaya Nahi

MufLisi Mein faaqe Bhi Karne Pade

Par Kahi Bhi Haath Felaya Nahi


Zindagi Sanghrs Ka Hi Naam Hai

Haar Kar Bhi Dil Ye Ghbraya Nahi


Mein Akeli hi Safar Karti Rahi

Dard Mene Kabhi Dikhyala Nahi

__________________


Worlds Best Sad love Shayari




Hum Khat Mein aaj Tera Paigam Dhudhte Hain

Na Jane Zahar Mein Kyu, ab jaam Dhudhte Hein


Sheeshe Ka Dil Sambhale Hum Aa Gaye Hai Aye Dost

Pathar Ke Iss Shahar Mein Ab kaam Dhudhte Hain


Har Aks Mein Ye Chehra Tere Wjood Ka Hai

Har Chahre Pe Ab Tera Hi Naam Dhudhte Hain


Ye Tisnagi Humari Betab Kyu Hai

Har Subh Pyaas Teri, Har Sham Dhoodhte Hain

__________________


Worlds Best Shayari On Siyasat

Siyasi Khel 

Iss Tarh Mohre bane Satranj Ke Hum

Wo Siyasi Khel Har Dam Khelta Hai


Zahar Ka Wo paed Kya Kya Bo Gya Hai

Ab Yaha Panchi Na Koi Dolta Hai


Kat Kar Yun Pankh Bebas Kar Diya

Baaz Ki Manind Humko Kar Diya

__________________


Worlds Best Shayari On narazgi | shikva | shikayat


Pase-Lafz Tanveer To aapki Thi

Ghazal Kya Thi, Tasveer To aapki Thi


Meri Milkiyat Mein To Kuch Bhi Nahi Tha

Qalam Ki Ye Jageer To aapki Thi


Rage-Gul Mein Harchand Mera Lahu Tha

Guistiyan Mein Tauqeer To aapki Thi


Mujhe Dusron Se Ho Kyo koi Shikwa

Ke Mathe Ki Tahreer To Aapki Thi


__________________


Worlds Best Shayari On love


Isi Bahane Karu Apni Justju Kuch Der

Rahe To sath Mere Unki Aarzoo Kuch Der


Tumhara zikr, Tumhari Hi Baat Hoti Hai

Jab Apne Aaap se karta Hu Guftgu Kuch Der


Ajab Ye Khel Hai, Phir Mujh Mein Doob jata Hai

Chamkta Rahta Hai Wo Mere Char-Su Kuch Der


Jhulas Ke Rah Gaye Pal Bhar Mein Bargo-Baar Tamam

Chali Ajab Chamne-Jismo-Jan Mein Loo Kuch Der


__________________


Worlds Best Shayari On love | Dard 




Unki Chasme-Karam Thi Mere Haal Par Mehrban Kuch Na Kuch

Meri Raho Mein Bhikhri Rahi Dard Ki KahKashan Kuch Na Kuch


Munslik Thi Meri Jaat Se Gardishe-Aasman Kuch Na Kuch

Mere Haq Mein Sharrab Tha Waqt Ka Karwan Kuch Na Kuch


Har Kadam Ek Tufan-e-Gum Jhelne Mein safar Kat Gaya

Phir Bhi Chahre Pe Raha Mere Nisha Kuch Na Kuch


Lakh DushWarioun Mein Gira, Phir-Bhi Sabit-Kadam Hi Raha

Mujh-Pe Asan Hoti Gayi Manzil-e-Intihaan Kuch Na Kuch


Jab Kabhi Zindagi Ke Masail Se Fursat Mili

Barge-Gul Par Raqam Ho Gayi Ishq Ki Dastan Kuch Na Kuch


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *