Best Love Shayari Hindi 2021:



Best Love Shayari Hindi 2019
Best Love Shayari Hindi 2019
Ab Masheeha Tere Aane Ke Bahane Nikle
Dil Ke Goshe Mein Kayi Jakhm Purane Nikle


Sukh Jane Ke Hai Dariyao Ke Imkaan Bahut
Barf Ke Phool Khile, Dhoop Ke Dane Nikle


Dekhna, Kitne Hi Selab Umad Aayenge
Aankh Mein Askh Liye Tute Gharane Nikle


Sham Hote Hi Jo Dahleej Pe Aahat-Si Hui
Mere Aangan Se Kayi Khwab Suhane Nikle


Phir Wahi Khat Wahi Sukhe Huye Phoolon Ke Waraq
Dayari Jab Bhi Khuli, Beete Zamane Nikle






Jab Tere Gum Simat Ke Aaate Hai
Ashk Aankho Mein Muskurate Hain







Zinda Rahne Ko hai Tera zikr Bahut
Mere Galo Pe Khilte Suman Dekh Lo

Bheedh Logo Ki Meri Gali Mein Bahut
Phir Bhi Tum-Bin Hai Khali Sehan, Dekh Lo

Teri Saanse Hai, Tera Hi Ehsas Hai
Kesa Phna Hai! Ye Pairhan Dekh Lo

Yun To Khushion Ke Mele Sajate Sabhi
Hum Mante Hai Gum Ka Jashn Dekh Lo





Pyar Hai Faila Hua, Par Umr Choti Hai
Kya Bharosa Zindagi Ki Saans Ye KabTak Chale





Nadi Ban Ke Janmi Thi Bahti Rahi
Na Samjho Ke Mujh Mein Rawani Nahi

Raho Ban Ke Pather, Mein Puja Karu
Ke Meera Si Mein To Deewani Nahi

Na Kisse Bane or Na Ungali Uthe
Javani Wo Koi Javani Nahi

Kaho Dosto Mat Ye Dil Jod Lo
Hume Dil Pe Phir Chot Khani Nahi

Pighal Jaye Pathr Bhi, Gar Than Len
Ye Baat Or Hai Humne Thani Nahi



Aage Badiye, Badhte Rahiye Or Badhte Jaiye
Kon Jane Kon Si Raho Mein Kab Manjile Mile




Ek Mom Ki Gudiya Ko Tumne Asru Se Nahala Diya
Ek Low Jalayi Pyar Ki, Phir Preet Ko Pighla Diya

Hai Prem Ki Bati Ke Sath Ek Low Sulgate Swpan Ki
Ja-Jal Ke Mit Ta Hai Koi, Jalwa Ye Kya Dikhla Diya

Majhdhar Mein Kashti Gayi, Ye To Bhanwar ka Kaam Tha
Sahil Mila Hai Doob Kar, Lahron Ne Ye Batla Diya

Dil Ki Gawahi Sath Hai, Jeevan Mein Gum Din Raat Hai
Gum Ki Jo Hum Peene Lage, Jeena Hume Shikhla Diya


Pyar Sanghars Ka Hi Dusra Ek Naam Hai
Ladte Rahiye Zindagi Se, Kya Bhala Shikve Gile




Kisse Sune Sab Aapke, Ab Humko Kahne Dijiye
Jazbaat Ki Sacchai Ko, Afsana Banne Dijiye

Aakhash Kandhe Par Raha, Thi Chandni Ki Chadare
Ab Dopahar Ki Dhoop Se, Humko Liptne Dijiye

Sindur Ki Kati Saja, Humne Hazaro Sal Tak
Dhoi Hai resham Ki Saleeb, Pathar Mein Dhalne Dijiye

Seeta Kahe, Meera Kahe, Radha Kahe, Sweekar Hai

Hum Thak Gaye Phoolo Se Ab, Kanto Pe Chalne Dijiye



Pyar ki Raah Mein Kaante Bhi Ho To, 
Aap Mat Ghabraiye
Aapki Khoshis Yahi Ho, Phool Pag Pag Par Khile



Apne Badan Ki Aag Mein Jalana Abas Hua
Sholo Ko Razdar Banana Abas Hua

Tumko To Raas Aayi Muslsal Ye Zindagi
Mera To Kishtwar Bhi Marna Abas Hua

Tuta To Aksh-Khwab Bhi Ashko Se Mit Gaya
Aankho Mein Esa Khwab Basana Abas Hua

Dono Waraq-Waraq To Mile The, Magar Janab
Dono Ka Talkh-Talkh Bichadna Abas Hua

Fislan Thi Zindagi Ke Har-Ek Mod Par
Koi Zada Zamin Pe Thahrna Abas Hua



Bandhi Hai Aankh Par Patti Pyar me

To Hai Talwar Hatho Mein

Koi Bhi Ab Mere Baazu Mera Sar Kat Sakta Hai…




Mizaj Apna Badalna Chahta Hu
Hawa Ke Rukh Ko Badlna Chahta Hu

Suno Kashmiri Hawao, Barfili Hawao
Tumhare Sath Jalna Chahta Hu

Gani Jiske Tavssut Se Hua Main
Usi Ka Sar Kuchalna Chahta Hu

Koi Likh Lo Meri Bhi Aapbiti
Ke Main Sab Kuch Ugalna Chahta Hu

Wahi Par Thokare Lagti Hai
Jaha Par Main Sambhlna Chahta Hu


Ishq Shayari
Ishq Shayari

Pyar Ka Tufan Ye Kesa Hai Ke Thamta Hi Nahi
Kya Ghar Ke Chirago Ko Ye Jalne Nahi Dega

Dil dhadakne ka sabab Shayari
Dil dhadakne ka sabab Shayari
Mujhe Ghar Se Nikalna Aa Gaya Hai
Pyar me Kathin Raho Pe Chalna Aa Gya Hai

Bhala Kya Fikr Usko Neend Ki Ho
Jise Karvat Badlna Aa Gya Hai

Khushi Ki Iss Tarh Killat Rahi Hai
Ke Bachhon Sa Machalna Aa Gya Hai

Hunar To Seekh Lenge Waqt Se Ab
Hume Suraj Sa Jalna Aa Gya Hai

Sambhal Ja O Mere Hatho Ki Rekha
Mujhe Kishmat badalna Aa Gaya Hai.


Mausam Ki Trah Log Badal Lete Hai Khud KO
Dil Mera Magar Mujhko Badalne Nahi Dega

Aarzu Shayari
Aarzu Shayari

Haan Mujhe Roz Ki Khabar Likhna

Kesa Hai Tu Tera Shahar Likha

Kese Dhalti Hai Sanjh Mere Bina
Beet Ti Raat Ka Pahar Likhna

Jab Bhi Likhna Ho Koi Geet Ghazal
God Mein Leke Mera sar Likhna

Aankh Gahri Hai Jheel Ke jaisi
Shant Iski Hai Kyo lahar Likhna

Zikr Mera Hua Jab Bhi Kahi
Kya Hua Tujh Pe Phir Asar Likhna

ḳhushi Shayari
ḳhushi Shayari


Kanto Ke Siva Phool Par Chalne Nahi Dega

Dil hai Ke Mujhe Ghr Se Nikalne nahi Dega

Muskaan Shayari
Muskaan Shayari
Shahr Mein Din, Na Gahr Mein Raat Mili
Tanha Tanha Mujhe Hayat Mili

Ghar Mein Suraj Bhi, Chand Bhi Hai Magar
Teergi Se Kaha Nijaat Mili

Beej Boye The Pyar Ke Lekin
Khet Mein Fasle-Hadsat Mili

Log Kahte The Mere Jesa Use
Koi Lahja Mila Na Baat Mili

Apna Apna Nasseb Hai
Kisko Kitni Ye Kaynaat Mili

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *