Best Shayari in Hindi 

Hello everyone, how are you..?
Hope You all are right.


Sabke andar ek shayar chhupa hua hota hai.Isliye jab bhi ham koi achhi shayari padte hai to hamare ander ka wo chhupa hua shayar bahar nikal ata hai,or wo shayari hamare dil ko chhu jati hai. 


Ya fir kuchh shayari esi hoti hai jo hamari situation ya halaat ke hisab se ham par suit karti hai to hame vo lines (Shayari) bahut pasand aati hai.


Kabhi kabhi ham bahut udas hote hai to kisi sad shayari ko pad kar  apni situation ko usse match karne ki kosis karte hai kyuki wo sidhe hamare dil me utar jati hai, or hame esa lagta hai jese ki likhne wale ( shayar ) ne hamari hi halat ke uper wo shayari likhi hai.


Here we are going to present some of the Best Shayari in Hindi. So enjoy it…


We have tried to go give you various types of Shayari here.



 

Kuchh der ko aap mere,hum qadam ho jaiye

Khayalo ki parwaaj me, kuchh der kho jaiye.


Mullamma dekh ke kisi ki qimat na aakna

Dekhna,parakhna use, fir achhe se janchna.

Kyo nukta chini karke, sayane bante firte ho

ungli uthane se pahle apne daman me jhakna.



Kuchh mushkil nahi hai apni hade karna

Is dahleej ko soch amajh kar langhna.


Jab pasina bahaya hai, mehnat kash hatho ne

Apne hisse ka rajk, pure haq se mangna. 


Dikkat to hogi magar zinda rakhna apne zamir ko
Is tareh kyu dusro ke ishare par nachna. 


Aag bhadki ho to kese na jhulsoge bhala

Dil ki jale aur kaho ki lage aanch na…




Khuli fizao me chhayi ye gard kyu hai.

Aag kaha dabi hai, mausam kaha sard hai.


Jitne sangdil hai zindgi ke marhale

Dil ki mitti utni narm kyu hai.


Zara-si baat par ukhad jate hai log

Zamane ki hawa itni garm kyu hai.


Khamosha aasma ke sine me yakayak

kyu chhayi ghata, chamki ye barq kyu hai.


Har su ek khalish-si badh rahi hai.

Aakhir insaan itna kamzarf kyu hai.


Uthle dayro me simta hua aadmi

Apni hi duniya me khudgarz kyu hai.

Aadam ki aulaad hai jab sara jaha

Qaum ke naam par ye farq kyu hai.


Insaaniyat ko hua ye marz kya hai

Tere ya mere lahu me farq kya hai.


Jinki badaulat hai tu, na puchh unse 

Jo ada na ho sake, vo dard  kya hai.


Dil kidhakano me hazaar halchale

Chhupa har pahlu me, ye dard kya hai.


Nazar uthake jhukane me, ho jate hai gunah

Wo kya jane haya-O-sharm kya hai.


Aah banke ke nikle koi dil chah

Ek zara si baat,kahne me harz kya hai.




Wo ek “lafz’ rago me daudta hai

Mere dilme jane ‘kya’ bolta hai.


Majra hotho pe wo ane nahi deta

Baat ko apni wo itni baar taulta hai.


Sunte hai apne shaher me bhi koi

Shakhs hai esa, jo tute dil jodta hai.


Kis raah pe qadam badhau age

Har ik raah,apni or modta hai.


Khayal tak nahi dil ke tutne ka 

Wo bedard ese, qasam todta hai.


Yaki na ho jise sunke kisi ko

Ese-ese poshida raaz kholta hai.




Jis Tareh tane se chhal nikal rahi hai

Umr bhi kuchh is tarike se dhal rahi hai.


Chand ki faank aasma pe tangi hai ese

Chandni bhi aaj mann ko chhal rahi hai.


Rangili duniya ke,naye andaaz dekhkar

Roz nayi khwahish, sine me pal rahi hai.



Bekhudi ke aalam me, kaid rahi bahut din

Ab wo chidiya dhire se,karvat badak rahi hai.


Is umr me baato ki, ravani to dekho

Naye daur ki hawa, kitni tez chal rahi hai.


_________________


Mita na de hasti koi, itna guma bhi rakh

Kayaro ki tareh mat ban,muh me zaba bhi rakh.

Jeet jayega ye sochke kadam age badha

Manzil tak pahuchne ka madda bhi rakh.


Akela bhatak na jaye kahi duniya ki bhid me

Achha hai apne sath koi rehnuma bhi rakh.



Hathiyaar le ke chal pada maidaan-e-jang me 

Pas jigar me thoda hausla bhi rakh.


Gar kabhi rahe juda ho jaye to ranj na ho

Itne qarib na aa  thoda fasla bhi rakh.


Kya gul khilayega,kya rang layega zamana

Kyo soch ke ghabraaye, khud  pe aasra bhi rakh.


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *