Intezaar Shayari | Sad Intezaar Shayari | Intezaar Shayari Hindi:



Sad Intezaar Shayari
Sad Intezaar Shayari

Jine se dil bezaar hai
Har saans ko bas tera hi inzaar hai
Kitn hazin ha zindgi
Andoh-gee hai Zindagi

Vo bazme-ahbaabe-vatan
Vo hamanvayaane-sukhan 
Aate hai jis dam yaad ab
Karte hai dil nashad ab

Guzri hui ranginiya
Khoyi hui dilchaspiya
Pahro rulati hai mujhe
Aksar satati hai mujhe

Vo zamzame,vo chahchahe
vo rooh-afaza kahkahe
Jab dil ko maut aayi na thi
Yoo behisi chhayi na thi

Vo nazninane-vatan
Zohra zabinane vatan
Jinme se ek rangi qabaa
Aatish-nafas,aatishnavaa

Karke Mohabbat aashna
Range-akidat-aashna
Mere dile-nakaam ko
Khoongashta-e-aalam ko
dage-judai de gayi
Sari khudayi le Gayi

Un saato ki yaad me
Un rahto ki yaad me
Magmoom sa rehta hu mai
Gam ki kasak sahta hu mai
Sunta hoo ajab ahbaab se
Qisse game-ayyaam ke
Betaab ho jata hu mai
Aaho me kho jata hu mai

Fir vo azizo-Akbara
Jo tod kar ahde-vafa
Ahbaab se muh mod kar
duniya se rishta tod kar
Hadde-ufak se us taraf 
Range shafak se us taraf
Ik vadiye khamosh ki
Ik Aalame-behosh ki
Gehraaiyo me so gaye
Tarikiyo me kho gaye

Uska tasavvur naghaa
Leta hai dil me chtkiya
Aur khoo rulata hai mujhe
Bekal banata hai mujhe
Vo gaanv ki hamjoliya 
Maflook dahka-jadiyaa
Jo daste-farte-yaas se
Ismat luta kar reh gayi
Khud ko gava kar reh gayi

Gamgee javani ban gayi
Rusva kahani ban gayi
Unse kabhi galiyo me ab
Hota hu mai do-char jab
Nazre jhuka leta hu mai
Khud ko chhupa leta hu mai

kitni hazi hai zindgi
Andoh-gee hai zindgi.

Intezaar Shayari | Sad Intezaar Shayari | Intezaar Shayari Hindi |
Intezaar Shayari
Milne ka Intezaar Shayari


Chand kaiya nashat ki chunkar 
Muddate mahveyaas rehta hu
Tera milna khushi ki baat sahi
Tujhse milkar udaas rehta hu



Intezaar Shayari | Sad Intezaar Shayari | Intezaar Shayari Hindi |
Intezaar Shayari

Vo raahe zehan me ghumti hai jin raaho se aaj aaya hu
Kitni ummid se pahucha tha,Magar sirf intezaar sath laya hu

Dekha hai zindgi ko kuchh itna qarib se
Chehre tamaam lagne lage hai ajib se

Ae roohe-astra jaag, kaha so rahi hai
Aawaz de rahe hai payambar salib se

Is rengti hayaat ka kab tak uthaye baar(Bojh)
Bimaar ab ulajhne lage hai tabib se

Har gaam pe hai majmaye-ushshaq muntazir
maqtal ki raah milti hai kuee-habib se

Is Tareh zindgi ne diya hai hamara sath 
Jese koi nibaah raha ho raqib se.


Muntazir Meaning-Aashiko ka samuh Intezaar karta hua



Read Also: Yaad Shayari

Hawas-nasib nazar ko kahi qaraar nahi
Mai muntazir hu, magar tera intezaar nahi

Hami se range-gulista, hami se range bhaar
Hami ko nizaame gulista pe ikhtiyaar nahi 

Abhi na chhed mohabbat ke geet ae mutrib
Abhi hayaatr ka mahaul khusgawaar nahi

Tumhare ahde-wafa ko mai ahad kya kahu
mujhe khud apni mohabbat ka etbaar nahi

Na jane kitne gile isme muztarib hai nadim
Wo ek dil jo kisi ka gulzaar nahi

Gurez ka Nahi Qayal hyaat se, lekin
Jo sach kahu to mujhe maut nagawaar nahi 

Ye kis mukaam pe pahucha diya zamane ne 
Ki ab hayaat pe tera ikhtiyaar nahi.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *