Famous Poetry Of Urdu Poets

Famous Poetry Of Urdu Poets
Famous Poetry Of  Urdu Poets

Wasif Ali Wasif Shayari

Khsuhboo Say Rang, Rang Say Khushboo Nikaal Day,
Dil Ko Bujhaa Kay Shehr-E-Tamanna Ujaal Day.

Apnay Amal Ka Aap Hi Acha Sa Naam Rakh,
Kam-Zarfi-E-Nigaah Ko Husn-E-Ma’aal Day.

Kuch Or Hi Tarah Say Hoti Hain Sooratein,
Taareekh Jin Ko Apnay Liye Khadd-O-Khaal Day.

Apnay Sukoon-E-Qalb Ka Kuch Ehtimaam Kar,
Is Khaana-E-Khuda Say Kadoorat Nikaal Day.

Tairah-Shabi Hudood Say Baahar Nikal Gayi,
Wasif Tu Apnay Daur Ka Sooraj Uchhaal Day.

Wasi Shah Shayari

Tum Meri Aankh Kay Taiwar Na Bhula Paao Gay,
An-Kahi Baat Ko Samjho Gay Tou Yaad Aaunga.

Ham Nay Khushio’n Ki Tarah Dukh Bhi Ikat’thay Daikhay,
Safha-E-Zeest Ko Palto Gay Tou Yad Aaunga.

Isi Andaaz Mein Hotay Thay Mukhaatib Mujh Say,
Khatt Kisi Or Ko Likho Gay Tou Yaad Aaunga.

Meri Khushboo Tumhein Kholay Gi Gulaabon Ki Tarah,
Tum Agar Khud Say Na Bolo Gay Tou Yaad Aaunga.

Sard Raato’n Kay Mahaktay Huwe Sannaaton Mein,
Jab Kisi Phool Ko Choomo Gay Tou Yaad Aaunga.

Aaj Tou Mahfil-E-Yaaraa’n Ppe Ho Maghroor Bahut,
Jab Kabhi Toot Kay Bikhro Gay Tou Yaad Aaunga.

Ab Tou Ye Ashk Main Honto’n Say Churaa Leta Hoo’n,
Haath Say Khud Inhen Poncho Gay Tou Yaad Aaunga.

Shaal Pehnaayega Ab Kon Decembar Mein Tumhein,
Baarisho’n Mein Kabhi Bheego Gay Tou Yaad Aaunga.

Haadsay Aayengay Jeewan Mein Tou Tum Ho Kay Nidhaal,
Kisi Deewaar Ko Thaamo Gay Tou Yaad Aaunga.

Is Mein Shaamil Hai Meri Bakht Ki Taareeki Bhi,
Tum Siyah Rang Jo Pehno Gay Tou Yaad Aaunga.

Wali Deccani

Har Raat Apnay Lutf-O-Karam Soo’n Mila Karo,
Har Din Ko Eid Boojh Galay Say Laga Karo.


Wa’da Kiye Thay Raat Kay, Aaunga Subh Mein,
Ay Mehrbaan Wa’day Ko Apnay Wafa Karo.

Haq Tujh Soo’n Ham-Kalaam Rakhay Mujh Ko Raat Din,
Is Baat Say Mudaam Raqeebaa’n Jala Karo.

Kab Tak Rakho Gay Tarz-E-Taghaaful Ko Dil Manay,
Tuk Kaan Dhar Kay Haal Kisi Ka Suna Karo.

Jab Tak Hai Aasmaan-O-Zamee’n Jag Mein Bar-Qaraar,
Jiyoo’n Phool Is Jahaa’n Kay Chaman Mein Hansa Karo.

Aaya Hoon Ihtiyaaj Lay Tum Paas Ay Sanam,
Apnay Labo’n Kay Khizr Soo’n Haajat Rawaa Karo.

Yak Baat Hai WALI Ki Suno Kaan Rakh Sajan,
Meray Ankhaa’n Kay Baaagh Mein Daa’im Raha Karo.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *