Best Sad Shayari | Sad Quotes, and Status


Sometimes when people feel down, they like to read sad Shayari for whatever the reasons, love, life or friends, etc.
Some people say that love is never to be fulfilled and give pain in the end. As a result, people immersed in a profound sea of sadness and sorrow. And at that time, they like to read Sad Shayari or share them to express their emotions.
In this post, we have provided some of the latest and unique Sad Poetry for such broken hearts. They can sympathize 
their heart and can quiet the tide of overpowering feelings after reading the collection of our Sad Shayari. 
Our feelings and emotions need to leave our hearts. For those individuals, we have posted fascinating Sad Shayari here, covering every tragic sentiment of the heart. 

You can share these Shayari on social media like Facebook and WhatsApp and send them as SMS effortlessly. We have the best collection of Sad Shayari, Sad SMS, Sad Quotes, and Sad WhatsApp Status in Hindi and English, and some of the most beautiful images as well. You can also use them as your DP.  So, start sharing them with your friends or your loved ones. 


Sad Shayari 


आज कुछ कमी सी है तुम बिन 

ना रंग ना रौशनी है तुम बिन

वक़्त तो अपनी तरफ्तार से

चलता जा रहा है

बस धड़कन थमी सी है तुम बिन

न बारिश है न धुआ

फिर भी दिल में एक तपिश सी है तुम बिन

बहुत रोका है बादल को बरसने से

फिर भी आँखों में एक नमी सी है

तुम बिन

फिर भी आँखों में एक नमी सी है

तुम बिन.

___________


Aj kuchh kami si hai tum bin 

Na rang na roshni hai tum bin

Waqt to apni traftaar se

chalta ja raha hai

bas dhadkan thami si hai tum bin

Na barish hai na dhua

Fir bhi dil me ek tapish si hai tum bin

Bahut roka hai badal ko barasne se

Fir bhi aankho me ek nami si hai

Tum bin

Fir bhi aankho me ek nami si hai

Tum bin





Sad Love Shayari
Sad Love Shayari 

Best Sad Shayari 


कितनी बार सोचा भूल जाऊ उसे

फिर भी भुला न पाया तो क्या करु

कहा प्यार की सुणो दास्तान मुझसे

अब सुना ही न पाया तो क्या करु

दिल में तो थी हर वक़्त उसकी तस्वीर

अब दिखा ही न पाया तो क्या करु

दिल को जला देने वाले वो ख़त 

अब जला ही न पाया तो क्या करु

_____________


Kitni baar socha bhool jau use

Fir bhi bhula na paya to kya karoo

kaha pyar ki suno dastaan mujhse

Ab suna hi na paya to kya karoo

Dil me to thi har waqt uski tasveer

Ab dikha hi na paya to kya karoo

Dil ko jala dene wale vo khat 

Ab jala hi na paya to kya karoo


Best Sad Shayari
Best Sad Shayari 


Sad Shayari Hindi

मोहब्बत सोच कर करना,मोहब्बत मार देती है

जब तक दूसरे मारते रहे तुम पर

गनीमत है

किसी पर जब तुम्हे पड़ा मरना,फिर मोहब्बत मार देती है

मेरे क़ातिल ये खंजर को उठाने

की ज़रूरत क्या थी,कोई तकलीफ मत करना

मोहब्बत मार देती है

चलो आओ यु मर जाये,किसी इक़रार से पहले

मेरी जान-इ-वफ़ा वर्ना,यहाँ मोहब्बत मार देती है

मोहब्बत के दसे को मांगते 

देखा न पानी,न देगी यर आह तक भरने

 मोहब्बत मार देती है,मोहब्बत मार देती है

________


Mohabbat Soch Kar Karna

Mohabbat maar deti hai

Jab tak dusre marte rahe tum par

Ganimat hai

Kisi par jab tumhe pada marna

Fir mohabbat maar deti hai

Mere qatil ye khanjar ko uthane

Ki zarurat kya thi

Koi taklif mat karna

Mohabbat maar deti hai

Chalo aao yu mar jaye

Kisi ikraar se pahle

Meri jaan-E-vafa varna

yaha mohabbat maar deti hai

mohabbat ke dase ko mangte 

dekha na pani

Na degi yr aah tak bharne

 Mohabbat maar deti hai

Mohabbat maar deti hai



Sad Shayari English


रोना इतना आसान नहीं

रोने के भी बहने चाहिए

बे एतबार वक़्त पे झुँझला के रो पड़े

खो कर उसे कभी तो,

 कभी पाके रो पड़े

खुशिया हमरे पास कहा मुश्तकिल रही

बहार कभी हसे तो 

घर आकर रो पड़े

कब तक किसी के शोक में 

रोयेंगे बैठकर

हम खुद को ये कितनी बार 

समझा के रो पड़े…

__________




Rona itna aasaan nahi

Rone ke bhi bahane chahiye

Be etbaar waqt pe jhujhla ke ro pade

Kho kar use kabhi to,

 kabhi pake ro pade

Khushiya hamre paas kaha mushtqil rahi

Bahar kabhi hase to 

ghar aakar ro pade

Kab tak kisi ke shok me 

Royenge baithkar

Hum khud ko ye kitni baar 

Samjha ke ro pade…


Aakhiri Talash
Aakhiri Talash


Sad Love Shayari




मुझे ज़िंदगी की तलाश थी

सो मैं चल पड़ा

अनदेखी रहो पर… 

अनदेखी रहो पर जहां सोचा था

खुशियों के साथ रहूँगा

परिंदो की चहचाहट होगी

फूल खिलते हुए दिखेंगे

फसलें लहलहाती दिखेगी

मगर…..

मुझे क्या खबर थी

कही दूर जाने से 

क़िस्मत बदल नहीं जाती

तक़दीर में हो अगर आँसू

तो कोई ख़ुशी

राज़ नहीं आती

सो ऐ ज़िंदगी मेने तुझे खो दिया

मेने तुझे खो दिया तेरी ही तलाश में…

_______________


Mujhe zindgi ki talash thi

So mai chal pada

Andekhi raho par… 

Andekhi raho par jaha socha tha 

khushiyo ke sath rahuga

Parindo ki chahchaahat hogi

Phool khilte huye dikhege

Fasle lahlahaati dikhegi

Magar…..

Mujhe kya khabar thi

Kahi door jane se 

Qismat badal nahi jati

Taqdeer me ho agar aansoo

To koi khushi 

Raaz nahi aati

So Ae zindgi mene tujhe kho diya

Mene tujhe kho diya teri hi talash me…

Kasoor Sad Shayari
Kasoor Sad Shayari

कुछ ऑंखे ऐसी होती है

जो अपनी सी लगती है

अगर भीड़ में नज़र आ जाये

तो दुनिया रुक सी जाती है

वफ़ा के सब जवाब

एक पाक में समझती है

जज़्बे कितने सच्चे है

ख्वाब कितने अच्छे है

मोहब्बत कितनी पाक है

जुदाई क्या आज़ाब है

फिर इसी भीड़ में खो जाती है और

याद बनकर सताती है

वो आँखे

वो आँखे फ़ी कहा से लाये

जो समझती है

इसी तलाश में रूह भटकती है

पल-पल तड़पती है

मंज़िल से भटका के हमको

इंतज़ार दे जाती है

कुछ आँखे ऐसी होती होती है..

___________




Kuchh Ankhe esi hoti hai

Jo apni si lagti hai

Agar bhid me nazar aa jaye

To duniya ruk si jaati hai

Vafa ke sab jawab 

Ek pak me samajhti hai

Jazbe kitne sachhe hai

Khwab kitne achhe hai

Mohhabbat kitni paak hai

Judai kya aazaab hai

Fir isi bhid me kho jati hai aur

Yaad bankar satati hai

Vo Aankhe

Vo Aankhe Fie kaha se laye

Jo samjhati hai

Isi talaash me rooh bhatakti hai

Pal-pal tadapti hai

Manzil se bhatka ke hamko

Intezaar de jati hai

Kuchh Aankhe esi hoti hai..

Best Sad Quote
Best Sad Quote




Pyaar Mein Dhokha

आज फिर वो घडी याद आयी 

आज फिर वो लम्हा याद आया है

जब तुमने कुछ वादे किये थे

जब तुमने हमको अपना कहा था

मगर मै आज ये कह रहा हूँ

वो वक़्त फिर आ सकता है

वो लम्हा फिर आ सकता है

मई इसकी इजाज़त देता हु

हम फिर हम ख़याल हो सकते है

हम फिर जीने मरने की कसमें खा सकते है

हम फिर कुछ वादे कर सकते है

तुम फिर कोई ख्वाब देख सकती हो

मै फिर कोई ख्वाब देख सकता हूँ

फिर मैं वफ़ा का वादा कर सकता हूँ

मैं फिर एक बार मर मिटने के लिए

तैयार हो सकता हूँ

मगर….

हा मै तुम्हे इस

बात की इजाज़त देता हु

धोखा मेरी तरफ से होगा…

______________


Aj fir wo ghadi yaad ayi 

Aj fir wo lamha yaad aya hai

Jab tumne kuchh wade kiye the

jab tumne hamko apna kaha tha

Magar mai aj ye keh raha hoo

Wo waqt fir aa sakta hai

Wo lamha fir aa sakta hai

Mai iski ijazat deta hu

Hum fir hum khayaal ho sakte hai

Hum fir jine marne ki qasme kha sakte hai

Hum fir kuchh wade kar sakte hai

Tum fir koi khwab dekh sakti ho

Mai fir koi khwab dekh sakta hu

Fir mai wafa ka wada kar sakta hu

Mai fir ek baar mar mitne ke liye

Taiyaar ho sakta hoo

Magar….

Ha mai tumhe is

Baat ki ijazat deta hu

Dhokha meri taraf se hoga…
  
Mere Dost
Mere Dost


कई  बार ऐसा होता है की 

वो पौधा जिसे हम बचपन से

 पानी देते आये है

जब वो बड़ा हो जाता है

तो उसके फल पडोसी बेच खाते है

कई बार ऐसा होता है

और हम नाकाम 

खड़े देखते है

कुछ कर भी नहीं पाते.

__________




Kayi  baar esa hota hai ki 

Wo paudha jise hum bachpan se

 Pani dete aye hai

Jab wo bada ho jata hai

To uske fal padosi bech khate hai

Kayi baar esa hota hai

Aur hum nakam 

Khade dekhte hai

kuchh kar bhi nahi pate.


 Sad Love Message
Sad Love Message

Akbarabaadi Shayari


नूर अरफ़ा अक़ल के परदे में पनाह हो गया

होश में आना हिजाब रोये जाना हो गया

बात तश्किन न था बाघ जहा का कोई रंग

जिस रोस पर मै चला

आखिर परेशा हो गया

सूरत ज़ाहिर में दिल इक 

क़तरा वो खु था फ़क़त

आ गया जब होश में 

माना कि तूफा हो गया

इस तवक्को (भरोसा,आशा) पर की

तेरे पेअर है

मैं सिर्फ हु

मनो भी चरख पर 

सबकल गिरेबां हो गया

की तरक़्क़ी चश्म बद्दूर ईएसआई अपने रंग में

अकबर अब मसनद नशि बज़्म रिन्द हवा हो गया.

___________

Noor irfa aqal ke parde me panah ho gaya

Hosh me ana hijab roye jana ho gaya

Baat tashkin na tha Bagh jaha ka koi rang

Jis ros par mai chala 

Aakhir paresha ho gaya

Surat zahir me dil ik 

Qatra vo khu tha faqat

Aa gaya jab hosh me 

mana ki Tufaa ho gaya


Is Tawakko (Bharosa,Aasha) par ki

Tere pair hai

Mai sirf hu

Mano bhi charakh par 

sabkal girebaa ho gaya

Ki Tarqqi chashm baddoor esi apne rang me

Akbar ab masnd nashi bazm rind hawa ho gaya.

 Udaas Nazar
Udaas Nazar

Besutiful Shayari of Akbarabaadi
In Urdu Hindi & in English


आदत को ये शिफ़ा हो गयी

अला लात हमारी दवा हो गयी

तबियत की गर्मी भी क्या चीज़ है

तबियत मेरी क्या से क्या हो गयी

उन्ही ने अत की थी जान ख़ुदी 

हुआ खून तो उन्हीं पर फ़िदा हो गयी

फ़ासी जिस्म कहाकि में रूह लतीफ़

असीर कमांड हवा हो गयी

दवा क्या की वक़्त दुआ भी नहीं

तेरी हालत अकबर ये क्या हो गयी..

_________

Aadat ko ye Shifa ho gayi
Ala lat hamari dawa ho gayi

Tabiyat ki garmi bhi kya chiz hai
Tabiyat meri kya se kya ho gayi

Unhi ne ata ki thi jaan khudi 
Hua khoon to unhi par fida ho gayi

Fasi jism khaqi me rooh latif
Asir kamand hawa ho gayi

Dawa kya ki waqt dua bhi nahi
Teri haalat Akbar ye kya ho gayi..

Naraz Khafa shayari
Naraz Khafa shayari

Wo Hawaa Na Rahi, 
Wo Chaman Na Raha, 
Wo Gali Na Rahi Wo Hasee’n Na Rahay,
Wo FaLak Na Raha Wo Samaa’n Na Raha, 
Wo Makaan Na Rahay Wo Makee’n Na Rahay.


Wo Gulo’n Mein GuLo’n Ki Si Bu Na Rahi, 
Wo Azeezon Mein Lutf Ki Khoo Na Rahi,
Wo Haseeno’n Mein Rang-E-Wafaa Na Raha, 
Kaheen Or Ki Kia Wo Hamee’n Na Rahay.

Na Wo Aan Rahi Na Umang Rahi, 
Na Wo Rindi-O-Zohd Ki Jang Rahi,
Soo-E-Qibla Nigaahon K Rukh Na Rahay, 
Or Dair Pe Naqsh-E-Jabee’n Na Rahay.

Na Wo Jaam Rahay Na Wo Mast Rahay 
Na Fidaai-E-Ahd-E-Alast Rahay,
Wo Tareeqa-E-Kaar-E-Jahaa’n Na Rahaa, 
Wo Mashaaghil-E-Ronaq-E-Dee’n Na Rahay.

Hamein Laakh Zmaana Lubhaaye Tou Kia, 
Na’ey Rang Jo Charkh DiKhaaye To Kia?
Ye Muhaal Hai Ahl-E-Wafa K Liye
 Gham-E-Millat-O-Ulfat-E-Dee’n Na Rahay.

Tere Koocha-E-Zulf Mein Dil Hai Mera, 
Ab Usay Main Smjhta Hoo’n Daam-E-Bala,
Ye Ajeeb Sitam Hai Ajeeb Jafa, 
K Yahaan Na Rahay Tou Kahee’n Na Rahay.




Ye Tumhaaray Hi Dam Se Hai Bazm E Tarab, 
Abhi Jaao Na Tum Na Karo Ye Ghazab,
Koi Baith K Lutf Uthaaye Ga Kia, 
K Jo Ronaq-E-Bazm Tumhee’n Na Rahay.

Jo Thee’n Chashm-E-Falak Ki Bhi Noor-E-Nazar, 
Wohi Jin Pe Nisaar Thay Shams-O-Qamar,
So Ab Aisi Miti Hain Wo Anjumanain, 
K Nishaan Bhi Un K Kahee’n Na Rahay.

Wohi Sooraten Reh Ga’een Paish-E-Nazar, 
Jo Zmaanay Ko Phairen Idhar Se Udhar,
Magar Aisay Jamaal-E-Jahaan Aaraa 
Jo Thy Ronaq-E-Ru-E-Zamee’n Na Rahay.

Gham-O-Ranj Mein AKBAR Agar Hai Ghiraa,
 Tou Samajh Lay K Ranj Ko Bhi Hai Fanaa,
Kisi Shay Ko Nahi Hai Jahaan Mein Baqaa, 
Wo Ziyaada Malool-O-Hazee’n Na Rahay.


Intazaar Shayari
Intazaar Shayari
ग़म नहीं इस का जो शोहरत हो गयी,
हो गयी अब तो मोहब्बत हो गयी.


Gham Nahi Is Ka Jo Shohrat Ho Gayi,
Ho Gayi Ab Tou Mahabbat Ho Gayi.


Hindi Sad Quote
Hindi Sad Quote



Sad Quote

Altaaf Husain Hali Ki dil ko chhune wali shayari

Jahaan Mein Haali Kisi Pe Apnay Siwaa Bharosa Na Kijye Ga,
Ye Bhaid Hai Apni Zindagi Ka Bas Is Kaa Charcha Na Kijye Ga.

Ho Laakh Ghairon Ka Ghair Koi Na Jaanta Us Ko Ghair Hargiz,
Jo Apna Saaya Bhi Ho Tou Us Ko Tasawwur Apna Na Kijye Ga.

Isi Mein Hai Khair Hazrat-E-Dil Kay Yaar Bhoola Huwa Hai Ham Ko,
Karay Wo Yaad, Is Ki Bhool Kar Bhi Kabhi Tamanna Na Kijye Ga.

Tumhara Tha Dost-Daar Haali Or Apna Bay-Gaana Ka Raza Jo
Sulook Us Say Kiye Ye Tum Nay Tou Ham Say Kia Kia Na Kijye Ga.


Best Sad Love Quote
Best Sad Love Quote


Sad Poetry Hindi

The poetry of Jaun Elia

Aaj Lab e Guhar Fishaan Aap Nay Waa Nahi Kiya
Tazkira e Khajista e Aab o Hawaa Nahi Kiya

Kese Kahain Kay Tujh Ko Bhi Ham Say Hai Waasta Koi
Tu Nay Tou Ham Se Aaj Tak, Koi Gila Nahi Kiya

Jaanay Teri “Nahi” Kay Saath, Kitnay Hi Jabr Thay Ke Thay
Main Nay Teray Lihaaz Mein Tera Kaha Nahi Kiya

Mujh Ko Ye Hosh Hi Na Tha Tu Meray Baazuon Mein Hai
Ya’ni Tujhay Abhi Talak, Mein Nay Rihaa Nahi Kiya



Tu Bhi Kisi Kay Baab Mein, Ahd-Shikan Ho Ghaaliban
Mein Nay Bhi Aik Shakhs Ka, Qarz Adaa Nahi Kiya

Haan Wo Nigaah e Naaz Bhi Ab Nahi Maajraa-Talab
Ham Nay Bhi Ab Ki Fasl Mein Shour Bapaa Nahi Kiya


Emotional Sad Quote
Emotional Sad Quote


Beautiful Sad Quote

Unforgettable  poetry of Jaun Elia 


AAP Apna Ghubaar Thay Ham Tou,
Yaad Thay Yaad-Gaar Thay Ham Tou.

Pardagi! Ham Say Kiun Rakha Parda,
Teray Hi Parda-Daar Thay Ham Tou.

Waqt Ki Dhoop Mein Tumhaaray Liye,
Shajar-E-Saaya-Daar Thay Ham Tou.

Urtay Jaatay Hain Dhool Kay Maanind,
Aandhiyon Par Sawaar Thay Ham Tou.

Ham Nay Kiun Khud Pe Ei’tibaar Kiya,
Sakht Bay-Ei’tibaar Thay Ham Tou.

Sharm Hai Apni Baar-Baari Ki,
Bay-Sabab Baar Baar Thay Ham Tou.

Kiun Hamein Kar Diya Gaya Majboor,
Khud Hi Bay-Ikhtiyaar Thay Ham Tou.

Tum Nay Kesay Bhulaa Diya Ham Ko,
Tum Say Hi Musta’aar Thay Ham Tou.

Khush Na Aaya Hamein Jiye Jaana,
Lamhay Lamhay Pe Baar Thay Ham Tou.




Sheh Bhi Letay Hamaaray Ta’ano’n Ko,
Jaan-E-Man Jaa’n-Nisaar Thay Ham Tou.

Khud Ko Doraan-E-Haal Mein Apnay,
Bay-Tarah Naa-Gawaar Thay Ham Tou.

Tum Nay Ham Ko Bhi Kar Dia Bar-Baad,
Nadir-E-Roz-Gaar Thay Ham Tou.

Ham Ko Yaaron Nay Yaad Bhi Na Rakha,
Jaun Yaaron Kay Yaar Thay Ham Tou.


Hindi Sad Shayari
Hindi Sad Shayari

Top Sad Shayari 

Aasmaano’n Par Nazar Kar Anjum-O-Mahtaab Daikh,
Subh Ki Bunyaad Rakhni Hai Tou Pehlay Khuaab Daikh.

Ham Bhi Sochen Gay Duaa-E-Bay-Asar Kay Baab Mein,
Ek Nazar Tu Bhi Tazaad-E-Minbar-O-Mihraab Daikh.

Dosh Par Tar-Kash Para Rehnay Day Pehlay Dil Sanbhaal,
Dil Sanbhal Jaaye Tou Soo-E-Seena-E-Ahbaab Daikh.

Moja-E-Sar-Kash Kinaaro’n Say Chhalak Jaaye Tou Phir,
Kaisi Kaisi Bastiyaa’n Aati Hain Zair-E-Aab Daikh.

Boond Mein Saara Samandar, Aankh Mein Kul Kaainaat,
Aik Musht-E-Khaak Mein Sooraj Ki Aab-O-Taab Daikh.

Kuch Qalandar Mashrabo’n Say Raah-O-Rasm-E-Ishq Seekh,
Kuch Ham Aashufta-Mizaajo’n Kay Adab Aadaab Daikh.

Shab Ko Khatt-E-Noor Mein Likhi Hui Tabeer Parh,
Subh Tak Deewaar-E-Aayinda Mein Khiltay Baab Daikh.

Iftikhar Arif Kay Tund-O-Taiz Lehjay Par Na Jaa,

Iftikhar Arif Ki Aankho’n Mein Ulajhtay Khuaab Daikh.

Iftikhar Arif ki yaadgaar shayari


Teri Khushi
Teri Khushi


Khafa Shayari 

 Khud Se Bhi Kuch Khafa Se Lagte HoIshq 
   Main Mukhtala Se Lagte HoDard-E-Dil Ka
   Sabab Ho Tum LekinDard-E-Dil Ki Dawa Se Lagte Ho
______________

खुद से भी कु छ खफा से लगते हैं
 मुख्य मुखला से लगते होर्ड-ए-दिल का
सबाब हो तुम लेकिनर्ड-ए-दिल की दावा से लगते हो

______________



Wo Meri Ghazal Saraai, Wo Kisi Ka Muskuraana,
Wo Zara Theher Kay Khud Hi, Koi Shai’r Gungunaana.

Shab-E-Maah-O-Mausam-E-Gul, Wo Kinaar-E-Joo Wo Khalwat,
Wo Hujoom-E-Kaif-O-Masti, Wo Fasaana Dar-Fasaana.

Tujhay Yaad Agar Na Ho Tou, Tujhay Yaad Mein Dila Doo’n,
Mujhay Yad Hai Wo Sab Kuch, Wo Maqaam Wo Zamaana.

Wo Naye Naye Say Jazbay, Wo Nayi Nayi Si Har Shay,
Wo Nayi Nayi Umangei’n, Wo Naya Naya Zamana.

Wo Ghhataae’n Umdi Umdi, Wo Hawaaye’n Mehki Mehki,
Wo Nigaahei’n Behki Behki, Wo Adaayen Waalehaana.

Wo Shikast-E Azm-O-Himmat, Wo Ghuroor-E-Fath-O-Nusrat,
Wo Suroor-E-Dard-Mandi, Wo Nishaat-E-Dil-Baraana.

Teray Sang-E-Gham Nay Torra, Meray Sheesha-E-Khudi Ko,

Mera Dil Tha Toba Toba, Kay Khuda-E-Be-Zamaana.



Sad Love Message
Sad Love Message


Tum Meri Aankh Kay Taiwar Na Bhula Paao Gay,
An-Kahi Baat Ko Samjho Gay Tou Yaad Aaunga.

Ham Nay Khushio’n Ki Tarah Dukh Bhi Ikat’thay Daikhay,
Safha-E-Zeest Ko Palto Gay Tou Yad Aaunga.

Isi Andaaz Mein Hotay Thay Mukhaatib Mujh Say,
Khatt Kisi Or Ko Likho Gay Tou Yaad Aaunga.

Meri Khushboo Tumhein Kholay Gi Gulaabon Ki Tarah,
Tum Agar Khud Say Na Bolo Gay Tou Yaad Aaunga.

Sard Raato’n Kay Mahaktay Huwe Sannaaton Mein,
Jab Kisi Phool Ko Choomo Gay Tou Yaad Aaunga.




Aaj Tou Mahfil-E-Yaaraa’n Ppe Ho Maghroor Bahut,
Jab Kabhi Toot Kay Bikhro Gay Tou Yaad Aaunga.

Ab Tou Ye Ashk Main Honto’n Say Churaa Leta Hoo’n,
Haath Say Khud Inhen Poncho Gay Tou Yaad Aaunga.

Shaal Pehnaayega Ab Kon Decembar Mein Tumhein,
Baarisho’n Mein Kabhi Bheego Gay Tou Yaad Aaunga.

Haadsay Aayengay Jeewan Mein Tou Tum Ho Kay Nidhaal,
Kisi Deewaar Ko Thaamo Gay Tou Yaad Aaunga.

Is Mein Shaamil Hai Meri Bakht Ki Taareeki Bhi,
Tum Siyah Rang Jo Pehno Gay Tou Yaad Aaunga.




  Khoobshurat Sad Shayari
Khoobshurat Sad Shayari


Koi Sachay Khuaab Dikhata Hai, 
Par Jaanay Kon Dikhaata Hai,
Mujhay Saari Raat Jagaata Hai, 
Par Jaanay Kon Jagaata Hai.

Koi Darya Hai Jis Ki Lehrein Mujhay
 Khainch Rahi Hain, Or Koi,
Meri Jaanib Haath Barhaata Hai, 
Par Jaanay Kon Barhaata Hai.

Kabhi Jaa-E-Namaaz Ki Baanhon Mein, 
Kabhi Hamd Durood Ki Chhaaon Mein,
Koi Zaar-O-Zaar Rulaata Hai, 
Par Jaanay Kon Rulaata Hai.

Wohi Bay-Khabari, Wohi Jeewan 
Ka Bay-Ant Safar,
 Or Aisay Mein,
Koi Apni Yaad Dilaata Hai, 
Par Jaanay Kon Dilaata Hai.




Kaheen Is Maloom Si Dunya Mein 
Koi Naa-Maloom Si Dunya Hai,
Koi Us Ka Bhaid Bataata Hai, 
Par Jaanay Kon Bataata Hai.

Meri Tanhaai Mein Aik Nayi Tanhaai Hai, 
Jis Kay Rangon Mein,
Koi Apna Rang Milaata Hai, 
Par Jaanay Kon Milaata Hai.

Koi Kehta Hai Ye Rasta Hai Or 
Teray Liye Hai Ye Rasta,
Koi Is Mein Khaak Uraata Hai, 
Par Jaanay Kon Uraata Hai.

Koi Kehta Hai Ye Dunya Hai 
Or Teray Liye Hai Ye Dunya,
Koi Is Say Khof Dilaata Hai, 
Par Jaanay Kon Dilaata Hai.

Koi Kehta Hai Is Mitti Mein Kayi 
Khuaab Hain Or In Khuaabon Say,
Koi Betha Naqsh Banaata Hai,
 Par Jaanay Kon Banaata Hai.

Koi Har Shay Kay Seenay Mein Kaheen, 
Maujood Hai Zaahir Honay Ko,
Koi Apnaa Aap Chhupaata Hai, 
Par Jaanay Kon Chhupaata Hai.

Koi Dekha An-Dekha Har Pal 
Chup Chaap Likhay Jaata Hai Magar,
Koi Mujh Mein Shor Machaata Hai, 
Par Jaanay Kon Machaata Hai.

Mujhay Dunya Apni Chhab Dikhlaanay 
Roz Chali Aati Hai Magar,
Koi Dono’n Beeech Aajaata Hai, 
Par Jaanay Kon Aajata Hai.

Mohabbat sad Shayari
Mohabbat Sad Shayari

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *