1000+ Sad Poetry for such broken hearts
Best Sad Shayari | Sad Quotes, and Status
their heart and can quiet the tide of overpowering feelings after reading the collection of our Sad Shayari.
आज कुछ कमी सी है तुम बिन
ना रंग ना रौशनी है तुम बिन
वक़्त तो अपनी तरफ्तार से
चलता जा रहा है
बस धड़कन थमी सी है तुम बिन
न बारिश है न धुआ
फिर भी दिल में एक तपिश सी है तुम बिन
बहुत रोका है बादल को बरसने से
फिर भी आँखों में एक नमी सी है
तुम बिन
फिर भी आँखों में एक नमी सी है
तुम बिन.
___________
Aj kuchh kami si hai tum bin
Na rang na roshni hai tum bin
Waqt to apni traftaar se
chalta ja raha hai
bas dhadkan thami si hai tum bin
Na barish hai na dhua
Fir bhi dil me ek tapish si hai tum bin
Bahut roka hai badal ko barasne se
Fir bhi aankho me ek nami si hai
Tum bin
Fir bhi aankho me ek nami si hai
Tum bin
कितनी बार सोचा भूल जाऊ उसे
फिर भी भुला न पाया तो क्या करु
कहा प्यार की सुणो दास्तान मुझसे
अब सुना ही न पाया तो क्या करु
दिल में तो थी हर वक़्त उसकी तस्वीर
अब दिखा ही न पाया तो क्या करु
दिल को जला देने वाले वो ख़त
अब जला ही न पाया तो क्या करु
_____________
Kitni baar socha bhool jau use
Fir bhi bhula na paya to kya karoo
kaha pyar ki suno dastaan mujhse
Ab suna hi na paya to kya karoo
Dil me to thi har waqt uski tasveer
Ab dikha hi na paya to kya karoo
Dil ko jala dene wale vo khat
Ab jala hi na paya to kya karoo
मोहब्बत सोच कर करना,मोहब्बत मार देती है
जब तक दूसरे मारते रहे तुम पर
गनीमत है
किसी पर जब तुम्हे पड़ा मरना,फिर मोहब्बत मार देती है
मेरे क़ातिल ये खंजर को उठाने
की ज़रूरत क्या थी,कोई तकलीफ मत करना
मोहब्बत मार देती है
चलो आओ यु मर जाये,किसी इक़रार से पहले
मेरी जान-इ-वफ़ा वर्ना,यहाँ मोहब्बत मार देती है
मोहब्बत के दसे को मांगते
देखा न पानी,न देगी यर आह तक भरने
मोहब्बत मार देती है,मोहब्बत मार देती है
________
Mohabbat Soch Kar Karna
Mohabbat maar deti hai
Jab tak dusre marte rahe tum par
Ganimat hai
Kisi par jab tumhe pada marna
Fir mohabbat maar deti hai
Mere qatil ye khanjar ko uthane
Ki zarurat kya thi
Koi taklif mat karna
Mohabbat maar deti hai
Chalo aao yu mar jaye
Kisi ikraar se pahle
Meri jaan-E-vafa varna
yaha mohabbat maar deti hai
mohabbat ke dase ko mangte
dekha na pani
Na degi yr aah tak bharne
Mohabbat maar deti hai
Mohabbat maar deti hai
रोना इतना आसान नहीं
रोने के भी बहने चाहिए
बे एतबार वक़्त पे झुँझला के रो पड़े
खो कर उसे कभी तो,
कभी पाके रो पड़े
खुशिया हमरे पास कहा मुश्तकिल रही
बहार कभी हसे तो
घर आकर रो पड़े
कब तक किसी के शोक में
रोयेंगे बैठकर
हम खुद को ये कितनी बार
समझा के रो पड़े…
__________
Rona itna aasaan nahi
Rone ke bhi bahane chahiye
Be etbaar waqt pe jhujhla ke ro pade
Kho kar use kabhi to,
kabhi pake ro pade
Khushiya hamre paas kaha mushtqil rahi
Bahar kabhi hase to
ghar aakar ro pade
Kab tak kisi ke shok me
Royenge baithkar
Hum khud ko ye kitni baar
Samjha ke ro pade…
मुझे ज़िंदगी की तलाश थी
सो मैं चल पड़ा
अनदेखी रहो पर…
अनदेखी रहो पर जहां सोचा था
खुशियों के साथ रहूँगा
परिंदो की चहचाहट होगी
फूल खिलते हुए दिखेंगे
फसलें लहलहाती दिखेगी
मगर…..
मुझे क्या खबर थी
कही दूर जाने से
क़िस्मत बदल नहीं जाती
तक़दीर में हो अगर आँसू
तो कोई ख़ुशी
राज़ नहीं आती
सो ऐ ज़िंदगी मेने तुझे खो दिया
मेने तुझे खो दिया तेरी ही तलाश में…
_______________
Mujhe zindgi ki talash thi
So mai chal pada
Andekhi raho par…
Andekhi raho par jaha socha tha
khushiyo ke sath rahuga
Parindo ki chahchaahat hogi
Phool khilte huye dikhege
Fasle lahlahaati dikhegi
Magar…..
Mujhe kya khabar thi
Kahi door jane se
Qismat badal nahi jati
Taqdeer me ho agar aansoo
To koi khushi
Raaz nahi aati
So Ae zindgi mene tujhe kho diya
Mene tujhe kho diya teri hi talash me…
Kasoor Sad Shayari |
कुछ ऑंखे ऐसी होती है
जो अपनी सी लगती है
अगर भीड़ में नज़र आ जाये
तो दुनिया रुक सी जाती है
वफ़ा के सब जवाब
एक पाक में समझती है
जज़्बे कितने सच्चे है
ख्वाब कितने अच्छे है
मोहब्बत कितनी पाक है
जुदाई क्या आज़ाब है
फिर इसी भीड़ में खो जाती है और
याद बनकर सताती है
वो आँखे
वो आँखे फ़ी कहा से लाये
जो समझती है
इसी तलाश में रूह भटकती है
पल-पल तड़पती है
मंज़िल से भटका के हमको
इंतज़ार दे जाती है
कुछ आँखे ऐसी होती होती है..
___________
Kuchh Ankhe esi hoti hai
Jo apni si lagti hai
Agar bhid me nazar aa jaye
To duniya ruk si jaati hai
Vafa ke sab jawab
Ek pak me samajhti hai
Jazbe kitne sachhe hai
Khwab kitne achhe hai
Mohhabbat kitni paak hai
Judai kya aazaab hai
Fir isi bhid me kho jati hai aur
Yaad bankar satati hai
Vo Aankhe
Vo Aankhe Fie kaha se laye
Jo samjhati hai
Isi talaash me rooh bhatakti hai
Pal-pal tadapti hai
Manzil se bhatka ke hamko
Intezaar de jati hai
Kuchh Aankhe esi hoti hai..
आज फिर वो घडी याद आयी
आज फिर वो लम्हा याद आया है
जब तुमने कुछ वादे किये थे
जब तुमने हमको अपना कहा था
मगर मै आज ये कह रहा हूँ
वो वक़्त फिर आ सकता है
वो लम्हा फिर आ सकता है
मई इसकी इजाज़त देता हु
हम फिर हम ख़याल हो सकते है
हम फिर जीने मरने की कसमें खा सकते है
हम फिर कुछ वादे कर सकते है
तुम फिर कोई ख्वाब देख सकती हो
मै फिर कोई ख्वाब देख सकता हूँ
फिर मैं वफ़ा का वादा कर सकता हूँ
मैं फिर एक बार मर मिटने के लिए
तैयार हो सकता हूँ
मगर….
हा मै तुम्हे इस
बात की इजाज़त देता हु
धोखा मेरी तरफ से होगा…
______________
Aj fir wo lamha yaad aya hai
Jab tumne kuchh wade kiye the
jab tumne hamko apna kaha tha
Magar mai aj ye keh raha hoo
Wo waqt fir aa sakta hai
Wo lamha fir aa sakta hai
Mai iski ijazat deta hu
Hum fir hum khayaal ho sakte hai
Hum fir jine marne ki qasme kha sakte hai
Hum fir kuchh wade kar sakte hai
Tum fir koi khwab dekh sakti ho
Mai fir koi khwab dekh sakta hu
Fir mai wafa ka wada kar sakta hu
Mai fir ek baar mar mitne ke liye
Taiyaar ho sakta hoo
Magar….
Ha mai tumhe is
Baat ki ijazat deta hu
Dhokha meri taraf se hoga…
वो पौधा जिसे हम बचपन से
पानी देते आये है
जब वो बड़ा हो जाता है
तो उसके फल पडोसी बेच खाते है
कई बार ऐसा होता है
और हम नाकाम
खड़े देखते है
कुछ कर भी नहीं पाते.
__________
Kayi baar esa hota hai ki
Wo paudha jise hum bachpan se
Pani dete aye hai
Jab wo bada ho jata hai
To uske fal padosi bech khate hai
Kayi baar esa hota hai
Aur hum nakam
Khade dekhte hai
kuchh kar bhi nahi pate.
नूर अरफ़ा अक़ल के परदे में पनाह हो गया
होश में आना हिजाब रोये जाना हो गया
बात तश्किन न था बाघ जहा का कोई रंग
जिस रोस पर मै चला
आखिर परेशा हो गया
सूरत ज़ाहिर में दिल इक
क़तरा वो खु था फ़क़त
आ गया जब होश में
माना कि तूफा हो गया
इस तवक्को (भरोसा,आशा) पर की
तेरे पेअर है
मैं सिर्फ हु
मनो भी चरख पर
सबकल गिरेबां हो गया
की तरक़्क़ी चश्म बद्दूर ईएसआई अपने रंग में
अकबर अब मसनद नशि बज़्म रिन्द हवा हो गया.
___________
Noor irfa aqal ke parde me panah ho gaya
Hosh me ana hijab roye jana ho gaya
Baat tashkin na tha Bagh jaha ka koi rang
Jis ros par mai chala
Aakhir paresha ho gaya
Surat zahir me dil ik
Qatra vo khu tha faqat
Aa gaya jab hosh me
mana ki Tufaa ho gaya
Is Tawakko (Bharosa,Aasha) par ki
Tere pair hai
Mai sirf hu
Mano bhi charakh par
sabkal girebaa ho gaya
Ki Tarqqi chashm baddoor esi apne rang me
Akbar ab masnd nashi bazm rind hawa ho gaya.
In Urdu Hindi & in English
आदत को ये शिफ़ा हो गयी
अला लात हमारी दवा हो गयी
तबियत की गर्मी भी क्या चीज़ है
तबियत मेरी क्या से क्या हो गयी
उन्ही ने अत की थी जान ख़ुदी
हुआ खून तो उन्हीं पर फ़िदा हो गयी
फ़ासी जिस्म कहाकि में रूह लतीफ़
असीर कमांड हवा हो गयी
दवा क्या की वक़्त दुआ भी नहीं
तेरी हालत अकबर ये क्या हो गयी..
_________
Aadat ko ye Shifa ho gayi
Ala lat hamari dawa ho gayi
Tabiyat ki garmi bhi kya chiz hai
Tabiyat meri kya se kya ho gayi
Unhi ne ata ki thi jaan khudi
Hua khoon to unhi par fida ho gayi
Fasi jism khaqi me rooh latif
Asir kamand hawa ho gayi
Dawa kya ki waqt dua bhi nahi
Teri haalat Akbar ye kya ho gayi..
Naraz Khafa shayari |
Wo Hawaa Na Rahi,
Wo Chaman Na Raha,
Wo Gali Na Rahi Wo Hasee’n Na Rahay,
Wo FaLak Na Raha Wo Samaa’n Na Raha,
Wo Makaan Na Rahay Wo Makee’n Na Rahay.
Wo Gulo’n Mein GuLo’n Ki Si Bu Na Rahi,
Wo Azeezon Mein Lutf Ki Khoo Na Rahi,
Wo Haseeno’n Mein Rang-E-Wafaa Na Raha,
Kaheen Or Ki Kia Wo Hamee’n Na Rahay.
Na Wo Aan Rahi Na Umang Rahi,
Na Wo Rindi-O-Zohd Ki Jang Rahi,
Soo-E-Qibla Nigaahon K Rukh Na Rahay,
Or Dair Pe Naqsh-E-Jabee’n Na Rahay.
Na Wo Jaam Rahay Na Wo Mast Rahay
Na Fidaai-E-Ahd-E-Alast Rahay,
Wo Tareeqa-E-Kaar-E-Jahaa’n Na Rahaa,
Wo Mashaaghil-E-Ronaq-E-Dee’n Na Rahay.
Hamein Laakh Zmaana Lubhaaye Tou Kia,
Na’ey Rang Jo Charkh DiKhaaye To Kia?
Ye Muhaal Hai Ahl-E-Wafa K Liye
Gham-E-Millat-O-Ulfat-E-Dee’n Na Rahay.
Tere Koocha-E-Zulf Mein Dil Hai Mera,
Ab Usay Main Smjhta Hoo’n Daam-E-Bala,
Ye Ajeeb Sitam Hai Ajeeb Jafa,
K Yahaan Na Rahay Tou Kahee’n Na Rahay.
Ye Tumhaaray Hi Dam Se Hai Bazm E Tarab,
Abhi Jaao Na Tum Na Karo Ye Ghazab,
Koi Baith K Lutf Uthaaye Ga Kia,
K Jo Ronaq-E-Bazm Tumhee’n Na Rahay.
Jo Thee’n Chashm-E-Falak Ki Bhi Noor-E-Nazar,
Wohi Jin Pe Nisaar Thay Shams-O-Qamar,
So Ab Aisi Miti Hain Wo Anjumanain,
K Nishaan Bhi Un K Kahee’n Na Rahay.
Wohi Sooraten Reh Ga’een Paish-E-Nazar,
Jo Zmaanay Ko Phairen Idhar Se Udhar,
Magar Aisay Jamaal-E-Jahaan Aaraa
Jo Thy Ronaq-E-Ru-E-Zamee’n Na Rahay.
Gham-O-Ranj Mein AKBAR Agar Hai Ghiraa,
Tou Samajh Lay K Ranj Ko Bhi Hai Fanaa,
Kisi Shay Ko Nahi Hai Jahaan Mein Baqaa,
Wo Ziyaada Malool-O-Hazee’n Na Rahay.
Intazaar Shayari |
हो गयी अब तो मोहब्बत हो गयी.
Ho Gayi Ab Tou Mahabbat Ho Gayi.
Hindi Sad Quote |
Sad Quote
Altaaf Husain Hali Ki dil ko chhune wali shayari
Best Sad Love Quote |
Sad Poetry Hindi
The poetry of Jaun Elia
Aaj Lab e Guhar Fishaan Aap Nay Waa Nahi Kiya
Tazkira e Khajista e Aab o Hawaa Nahi Kiya
Kese Kahain Kay Tujh Ko Bhi Ham Say Hai Waasta Koi
Tu Nay Tou Ham Se Aaj Tak, Koi Gila Nahi Kiya
Jaanay Teri “Nahi” Kay Saath, Kitnay Hi Jabr Thay Ke Thay
Main Nay Teray Lihaaz Mein Tera Kaha Nahi Kiya
Mujh Ko Ye Hosh Hi Na Tha Tu Meray Baazuon Mein Hai
Ya’ni Tujhay Abhi Talak, Mein Nay Rihaa Nahi Kiya
Tu Bhi Kisi Kay Baab Mein, Ahd-Shikan Ho Ghaaliban
Mein Nay Bhi Aik Shakhs Ka, Qarz Adaa Nahi Kiya
Haan Wo Nigaah e Naaz Bhi Ab Nahi Maajraa-Talab
Ham Nay Bhi Ab Ki Fasl Mein Shour Bapaa Nahi Kiya
Emotional Sad Quote |
Beautiful Sad Quote
Unforgettable poetry of Jaun Elia
AAP Apna Ghubaar Thay Ham Tou,
Hindi Sad Shayari |
Top Sad Shayari
Teri Khushi |
Khafa Shayari
Khud Se Bhi Kuch Khafa Se Lagte HoIshq
Main Mukhtala Se Lagte HoDard-E-Dil Ka
Sabab Ho Tum LekinDard-E-Dil Ki Dawa Se Lagte Ho
______________
खुद से भी कु छ खफा से लगते हैं
मुख्य मुखला से लगते होर्ड-ए-दिल का
सबाब हो तुम लेकिनर्ड-ए-दिल की दावा से लगते हो
______________
Sad Love Message |
Khoobshurat Sad Shayari |
Par Jaanay Kon Dikhaata Hai,
Par Jaanay Kon Jagaata Hai.
Khainch Rahi Hain, Or Koi,
Par Jaanay Kon Barhaata Hai.
Kabhi Hamd Durood Ki Chhaaon Mein,
Par Jaanay Kon Rulaata Hai.
Ka Bay-Ant Safar,
Or Aisay Mein,
Par Jaanay Kon Dilaata Hai.
Koi Naa-Maloom Si Dunya Hai,
Par Jaanay Kon Bataata Hai.
Jis Kay Rangon Mein,
Par Jaanay Kon Milaata Hai.
Teray Liye Hai Ye Rasta,
Par Jaanay Kon Uraata Hai.
Or Teray Liye Hai Ye Dunya,
Par Jaanay Kon Dilaata Hai.
Khuaab Hain Or In Khuaabon Say,
Par Jaanay Kon Banaata Hai.
Maujood Hai Zaahir Honay Ko,
Par Jaanay Kon Chhupaata Hai.
Chup Chaap Likhay Jaata Hai Magar,
Par Jaanay Kon Machaata Hai.
Roz Chali Aati Hai Magar,
Par Jaanay Kon Aajata Hai.