Best Shayari of Yaas Yagana Changezi
Best Shayari of Yaas Yagana Changezi
Aayinay Mein Saamna Jab Naagahaa’n Ho Jaaey Ga,
Kis Mahabbat Say Jaga Di, Dil Nay Dard-E-Ishq Ko,
Kia Khabar Thi Tishna-E-Khoo’n Maihmaa’n Ho Jaaey Ga.
Neend Kay Maatay Thehar Jaa, Aankh Khulnay Ki Hai Dair,
Chashm-E-Hairaa’n Mein Subak Khuaab-E-Giraa’n Ho Jaaey Ga.
Jaan Daitay Dair Kiya Lagti Hai Teri Raah Mein,
Dil Salaamat Hai Tou Ye Bhi Imtihaa’n Ho Jaaey Ga.
Rahzano’n Ka Phir Koi Dharka Na Khatka Khaar Ka,
Pehli Manzil Say Jab Aagay Kaarwaa’n Ho Jaaey Ga.
Chaar Din Ki Zindagi Hai Kaatt Do Hans Bol Kar,
Dil Lagaa Lo Phir Qafas Hi Aashiyaa’n Ho Jaaey Ga.
Kia Samajhtay Thay, Kay Dil Saa Sheesha-E-Naazuk Mizaaj,
Chott Khaatay Khaatay Itna Sakht-Jaa’n Ho Jaaey Ga.
Daikh Lo Husn-E-Yagaana Door Say Bay-Gaana-Waar,
Paas Jaao Gay Tou Parda Darmiyaa’n Ho Jaaey Ga.
Yaksaa’n Kabhi Kisi Ki Na Guzri Zamaanay Mein,
Yaadash Bakhair Baithay Thay Kal Aashiyaanay Mein.
Sadmay Diye Tou Sabr Ki Dolat Bhi Day Ga Wo,
Kis Cheez Ki Kami Hai Sakhi Kay Khazaanay Mein.
Ghurbat Ki Maut Bhi Sabab-E-Zikr-E-Khair Hai,
Gar Ham Nahi Tou Naam Rahay Ga Zamaanay Mein.
Dam-Bhar Mein Ab Mareez Ka Qissa Tamaam Hai,
Kiun-Kar Kahoo’n, Kay Raat Katay Gi Fasaanay Mein.
Nikli Ab Apni Rooh Tilism-E-Kaseef Say,
Hain Jalwa-Gar Ham Aaj Ek Aayina-Khaanay Mein.
Saaqi Mein Daikhta Hoon Zamee’n Aasmaa’n Ka Farq,
Arsh-E-Baree’n Mein Or Teray Aastaanay Mein.
Kia May-Kaday Ki Aab-O-Hawa Raas Aagayi,
Marr Kar Bhi Dafn Hain Ham Isi Aastaanay Mein.
Dil Mein Bahaar-E-Chehra-E-Rangee’n Ka Dhyaan Hai,
Yaa Jalwa-E-Bahisht Hai Aayina-Khaanay Mein.
Ab Kia Chhuraao Gay Is Aseer-E-Hawas Ko Tum,
Zulfon Say Dil Nikal Kay Phir Atkay Ga Shaanay Mein.
Fasl-E-Shabaab Aatay Hi Deewaanay Ban Gaye,
Kia Kia Na Saang Laatay Hain Log Is Zamaanay Mein.
Deewaarei’n Phaand Phaand Kay Deewaanay Chal Basay,
Khaak Urr Rahi Hai Chaar Taraf Qaid-Khaanay Mein.
Sayyad Is Aseeri Pay Sau Jaa’n Say Mein Fida,
Dil-Bastagi Qafas Ki Kahaa’n Aashiyaanay Mein.
Reh Reh Kay Jaisay Kaan Mein Kehta Hai Ye Koi,
Hongay Qafas Mein Kal, Jo Hain Aaj Aashiyaanay Mein.
Afsurda Khaatiron Ki Khizaa’n Kia, Bahaar Kia,
Kunj-E-Qafas Mein Marr Rahay, Ya Aashiyaanay Mein.
Ham Aisay Bad-Naseeb Kay Ab Tak Na Marr Gaye,
Aankho’n Kay Aagay Aag Lagi Aashiyaanay Mein.
Deewaanay Bankay Un Kay Galay Say Lipatt Bhi Jaao,
Kaam Apna Karlo YAAS Bahaanay Bahaany Mein.
Maut Aayi Aanay Dijye, Parwaa Na Kijye,
Manzil Hai Khatm, Sajda-E-Shukraana Kijye.
Zinhaar Tark-E-Lazzat-E-Eeza Na Kijye,
Hargiz Gunaah-E-Ishq Se Toba Na Kijye.
Na Aashnaa-E-Husn Ko Kiya E’tibaar-E-Ishq?
Andhon Kay Aagay Beth Kay Roya Na Kijye.
Teh Ki Khabar Bhi Laa’iye Saahil K Shoq Me,
Koshish Baqadr-E-Himmat-E-Mardaana Kijye.
Wo Din Gaye K Dil Ko Hawas Thi Gunaah Ki,
Yaadash Bakhair, Zikr Ab Us Ka Na Kijye.
Saawan Me Khaak Urti Hai, Dil Hai Rundhaa Huwa,
Ji Chahta Hai Girya-E-Mastaana Kijye.
Deewaana Waar Dor K Koi Lipat Na Jaaye,
Aankhon Me Aankhen Daal K Daikha Na Kijye.
Maut Aayi Aanay Dijye, Parwaa Na Kijye,
Manzil Hai Khatm, Sajda-E-Shukraana Kijye.
Zinhaar Tark-E-Lazzat-E-Eeza Na Kijye,
Hargiz Gunaah-E-Ishq Se Toba Na Kijye.
Na Aashnaa-E-Husn Ko Kiya E’tibaar-E-Ishq?
Andhon Kay Aagay Beth Kay Roya Na Kijye.
Teh Ki Khabar Bhi Laa’iye Saahil K Shoq Me,
Koshish Baqadr-E-Himmat-E-Mardaana Kijye.
Wo Din Gaye K Dil Ko Hawas Thi Gunaah Ki,
Yaadash Bakhair, Zikr Ab Us Ka Na Kijye.
Saawan Me Khaak Urti Hai, Dil Hai Rundhaa Huwa,
Ji Chahta Hai Girya-E-Mastaana Kijye.
Deewaana Waar Dor K Koi Lipat Na Jaaye,
Aankhon Me Aankhen Daal K Daikha Na Kijye.
Paish Khaima Mout Ka Khaab-E-Giraa’n Hojaae Ga,
Saikro’n Farsang Aagay Kaarwaa’n Hojaae Ga.
Qaalib-E-Khaaki Kahaa’n Tak Saath Day Ga Rooh Ka,
Waqt Aa Jaanay Do Ek Din Imtihaa’n Hojaae Ga.
Chupkay Chupkay Naasihaa, Pichlay Pahar Ro Lainay Day,
Kuch Tou Zaalim Chaara-E-Dard-E-Nihaa’n Hojaae Ga.
Shab Ki Shab Mehmaa’n Hai Ye Hangaama-E-Ibrat Saraa,
Subh Tak Sab Naqsh-E-Paa-E-Kaarwaa’n Hojaae Ga.
Chashm-E-Naa-Mahram Kujaa Or Jalwa-E-Mahshar Kujaa,
Parda-E-Asmat Wahaa’n Bhi Darmiyaa’n Hojaae Ga.
Ashk Tapkay Yaa Na Tapkay Dil Bhar Aayega Zarur,
Aah Karnay Dijiye Aap Imtihaa’n Hojaae Ga.
Saaya-E-Deewaar Say Liptay Paray Ho Khaak Par,
Uth Chalo Warna Wo Kaafir Bad-Gumaa’n Hojaae Ga.
YAAS Is Charkh-E-Zamaana Saaz Ka Kia E’tibaar!
Mehrbaa’n Hai Aaj, Kal Naa-Mehrbaa’n Hojaae Ga.