Worlds Best Shayari | Ghazal
Zindagi
Worlds Best Shayari On Zindgi
Maan Main Girvi Rakhu Darbaar Mein
Ye Hunar Mujhko Kabhi Aya Nahi
Mai Nadi Hu Veg Se Bhti Rahi
Rah Mein Rukna Mujhe Bhaya Nahi
MufLisi Mein faaqe Bhi Karne Pade
Par Kahi Bhi Haath Felaya Nahi
Zindagi Sanghrs Ka Hi Naam Hai
Haar Kar Bhi Dil Ye Ghbraya Nahi
Mein Akeli hi Safar Karti Rahi
Dard Mene Kabhi Dikhyala Nahi
__________________
Worlds Best Sad love Shayari
Hum Khat Mein aaj Tera Paigam Dhudhte Hain
Na Jane Zahar Mein Kyu, ab jaam Dhudhte Hein
Sheeshe Ka Dil Sambhale Hum Aa Gaye Hai Aye Dost
Pathar Ke Iss Shahar Mein Ab kaam Dhudhte Hain
Har Aks Mein Ye Chehra Tere Wjood Ka Hai
Har Chahre Pe Ab Tera Hi Naam Dhudhte Hain
Ye Tisnagi Humari Betab Kyu Hai
Har Subh Pyaas Teri, Har Sham Dhoodhte Hain
__________________
Worlds Best Shayari On Siyasat
Siyasi Khel
Iss Tarh Mohre bane Satranj Ke Hum
Wo Siyasi Khel Har Dam Khelta Hai
Zahar Ka Wo paed Kya Kya Bo Gya Hai
Ab Yaha Panchi Na Koi Dolta Hai
Kat Kar Yun Pankh Bebas Kar Diya
Baaz Ki Manind Humko Kar Diya
__________________
Worlds Best Shayari On narazgi | shikva | shikayat
Pase-Lafz Tanveer To aapki Thi
Ghazal Kya Thi, Tasveer To aapki Thi
Meri Milkiyat Mein To Kuch Bhi Nahi Tha
Qalam Ki Ye Jageer To aapki Thi
Rage-Gul Mein Harchand Mera Lahu Tha
Guistiyan Mein Tauqeer To aapki Thi
Mujhe Dusron Se Ho Kyo koi Shikwa
Ke Mathe Ki Tahreer To Aapki Thi
__________________
Worlds Best Shayari On love
Isi Bahane Karu Apni Justju Kuch Der
Rahe To sath Mere Unki Aarzoo Kuch Der
Tumhara zikr, Tumhari Hi Baat Hoti Hai
Jab Apne Aaap se karta Hu Guftgu Kuch Der
Ajab Ye Khel Hai, Phir Mujh Mein Doob jata Hai
Chamkta Rahta Hai Wo Mere Char-Su Kuch Der
Jhulas Ke Rah Gaye Pal Bhar Mein Bargo-Baar Tamam
Chali Ajab Chamne-Jismo-Jan Mein Loo Kuch Der
__________________
Worlds Best Shayari On love | Dard
Unki Chasme-Karam Thi Mere Haal Par Mehrban Kuch Na Kuch
Meri Raho Mein Bhikhri Rahi Dard Ki KahKashan Kuch Na Kuch
Munslik Thi Meri Jaat Se Gardishe-Aasman Kuch Na Kuch
Mere Haq Mein Sharrab Tha Waqt Ka Karwan Kuch Na Kuch
Har Kadam Ek Tufan-e-Gum Jhelne Mein safar Kat Gaya
Phir Bhi Chahre Pe Raha Mere Nisha Kuch Na Kuch
Lakh DushWarioun Mein Gira, Phir-Bhi Sabit-Kadam Hi Raha
Mujh-Pe Asan Hoti Gayi Manzil-e-Intihaan Kuch Na Kuch
Jab Kabhi Zindagi Ke Masail Se Fursat Mili
Barge-Gul Par Raqam Ho Gayi Ishq Ki Dastan Kuch Na Kuch