Sad Alone Shayari
Alone Shayari | Sad Alone Shayari | Lonely Shayari | Alone Shayari Hindi | Alone Shayari English
Intezaar Ki Arzoo Ab Kho Gayi Hai,
Khamoshion Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,
Na Shiqwa Raha Na Shiqayat Kisi Se,
Bas Ek Mohabbat Hai,
Jo Inn Tanhayion Se Ho Gayi Hai.
Na Shiqwa Raha Na Shiqayat Kisi Se,
Bas Ek Mohabbat Hai,
Jo Inn Tanhayion Se Ho Gayi Hai.
इंतज़ार की आरज़ू अब खो गयी है,
खामोशियों की आदत सी हो गयी है,
न शिकवा रहा न शिकायत किसी से,
बस एक मोहब्बत है,
जो इन तन्हाइयों से हो गई है।
Kahne Lagi Hai Ab Toh Meri
Tanhai Bhi MujhSe,
Tanhai Bhi MujhSe,
MujhSe Kar Lo Mohabbat Main
Toh Bewafa Bhi Nahin.
Toh Bewafa Bhi Nahin.
कहने लगी है अब तो मेरी तन्हाई भी मुझसे,
मुझसे कर लो मोहब्बत मैं तो बेवफा भी नहीं।
Aihtiyatan Dekhta Chal Apne Saaye Ki Taraf,
Iss Tarah Shayad Tujhe Ehsaas-e-Tanhai Na Ho.
एहतियातन देखता चल अपने साए की तरफ,
इस तरह शायद तुझे एहसास-ए-तन्हाई न हो।
Kudrat Ke Inn Haseen Najaaron Ka Hum Kya Karein,
Tum Saath Nahi Toh Inn Chaand Sitaron Ka Kya Karein.
कुदरत के इन हसीन नजारों का हम क्या करें,
तुम साथ नहीं तो इन चाँद सितारों का क्या करें।
Kabhi Socha Na Tha Tanhayion Ka Dard Yun Hoga,
Mere Dushaman Hi Mera Haal Mujhse Puchhte Hain.
कभी सोचा न था तन्हाइयों का दर्द यूँ होगा,
मेरे दुश्मन ही मेरा हाल मुझसे पूछते हैं।
Kya Karenge Mehfilon Mein Hum Bata,
Mera Dil Rehta Hai Kafilon Mein Akela.
क्या करेंगे महफिलों में हम बता,
मेरा दिल रहता है काफिलों में अकेला।
Uske Dil Me Thodi Si Jagah Maagi Thi
Musafiron Ki Tarah,
Usne Tanhayion Ka Ek Shahar
Mere Naam Kar Diya.
Usne Tanhayion Ka Ek Shahar
Mere Naam Kar Diya.
उसके दिल में थोड़ी सी जगह माँगी थी
मुसाफिरों की तरह,
उसने तन्हाईयों का एक शहर
मेरे नाम कर दिया।
Jab Mehfil Mein Bhi Tanhayi Paas Ho,
Roshni Mein Bhi Andhere Ka Ehsaas Ho,
Tab Kisi Khaas Ki Yaad Mein Muskura Do,
Shayad Woh Bhi Aapke Intezar Mein Udaas Ho.
Tab Kisi Khaas Ki Yaad Mein Muskura Do,
Shayad Woh Bhi Aapke Intezar Mein Udaas Ho.
जब महफ़िल में भी तन्हाई पास हो,
रोशनी में भी अँधेरे का एहसास हो,
तब किसी खास की याद में मुस्कुरा दो,
शायद वो भी आपके इंतजार में उदास हो।
Woh Bhi Bahut Akela Hai Shayad Meri Tarah,
Uss Ko Bhi Koi Chahne Wala Nahi Mila.
वो भी बहुत अकेला है शायद मेरी तरह,
उस को भी कोई चाहने वाला नहीं मिला।
Meri Yaadein Mera Chehra Meri Baatein Rulayengi,
Hijr Ke Daur Mein Gujri Mulakatein Rulayengi,
Dino Ko Toh Chalo Tum Kaat Bhi Loge Fasano Mein,
Jahan Tanha Miloge Tum Tumhein Raatein Rulayengi.
Dino Ko Toh Chalo Tum Kaat Bhi Loge Fasano Mein,
Jahan Tanha Miloge Tum Tumhein Raatein Rulayengi.
मेरी यादें मेरा चेहरा मेरी बातें रुलायेंगी,
हिज़्र के दौर में गुज़री मुलाकातें रुलायेंगी,
दिनों को तो चलो तुम काट भी लोगे फसानों में,
जहाँ तन्हा मिलोगे तुम तुम्हें रातें रुलायेंगी।
Kya Lajawab Tha Tera Chhorh Ke Jana,
Bhari Bhari Aabkhon Se Muskuraye The Hum,
Ab Toh Sirf Main Hun Aur Teri Yaadein Hain,
Gujar Rahein Hain Yun Hi Tanhayi Ke Mausam.
Ab Toh Sirf Main Hun Aur Teri Yaadein Hain,
Gujar Rahein Hain Yun Hi Tanhayi Ke Mausam.
क्या लाजवाब था तेरा छोड़ के जाना,
भरी भरी आँखों से मुस्कुराये थे हम,
अब तो सिर्फ मैं हूँ और तेरी यादें हैं,
गुजर रहे हैं यूँ ही तन्हाई के मौसम।
Woh Josh-e-Tanhai Shab-e-Gham,
Woh Har Taraf Bekasi Ka Aalam,
Kati Hai Aankhon Mein Raat Saari
Tadap Tadap Kar Sahar Huyi Hai.
Kati Hai Aankhon Mein Raat Saari
Tadap Tadap Kar Sahar Huyi Hai.
वो जोश-ए-तन्हाई शब-ए-ग़म,
वो हर तरफ बेकसी का आलम,
कटी है आँखों में रात सारी,
तड़प तड़प कर सहर हुयी।
Chhod Do Tanhai Mein Mujhko Yaaro,
Saath Mere Rahkar Kya Paaoge,
Agar Ho Gayi Aapko Bhi Mohabbat Kabhi,
Meri Tarah Tum Bhi Pachhtaoge.
Agar Ho Gayi Aapko Bhi Mohabbat Kabhi,
Meri Tarah Tum Bhi Pachhtaoge.
छोड दो तन्हाई में मुझको यारो,
साथ मेरे रहकर क्या पाओगे,
अगर हो गई आपको भी मोहब्बत कभी,
मेरी तरह तुम भी पछताओगे।
Tera Pehlu Tere Dil Ki Tarah Aabad Rahe,
Tujh Pe Gujre Na Qayamat Shab-e-Tanhayi Ki.
तेरा पहलू तेरे दिल की तरह आबाद रहे,
तुझपे गुज़रे न क़यामत शब-ए-तन्हाई की।
Aata Nahi Hai Jeena Uss Nadan Ke Bagair,
Kash Uss Shakhs Ne Marna Bhi Sikhaya Hota.
आता नहीं है जीना उस नादान के बगैर,
काश उस शख्स ने मरना भी सिखाया होता।