Ahmad Nadeem Qasmi Shayari 




Justuju Shayari


Mujhay Dukh Ye Hai Kay Bahaar Mein Bhi,
Tuyoor Bay Par-O-Baal Hain,
Meray Ham-Safar! Na Malool Ho,
Ye Malaal Meray Malaal Hain.


Meri Bay-Kali Say Khafa Na Ho,
Meri Justuju Ka Bhram Na Kho,
Tujhay Ek Jawaab Wabaal Hai,
Meray Lab Pe Laakh Sawaal Hain.


Wo Thi Ek Lakeer Si Aabjoo,
Ye Hai Chaar Soo Ki Fazaa-E-Hoo,
Wo Ghari Thi Teray Wisaal Ki,
Ye Firaaq Kay Mah-O-Saal Hain.


Ye Ajeeb Husn-O-Qayaas Hai,
Kay Jo Door Hai Wohi Paas Hai,
Ye Tasawwuraat Kay Waahimay,
Meray Dasht-E-Gham Kay Ghazaal Hain.


Ye Jo Arsa-Gaah-E-Khayaal Hai,
Tera Fan Hai Tera Jamaal Hai,
Meray Shai’r Hon Kaya Adab Mera,
Ye Sabhi Teray Khad-O-Khaal Hain.


Ye Ajab Tarah Ka Tazaad Hai,
Ye Dil-O-Nazar Ka Fasaad Hai,
Meray Tajribay Hain Kamaal Par,
Meray Dard Ro Ba Zawaal Hain.




Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *