Akbar Allahbadi Poetry

Akbar Allahbadi Poetry
Akbar Allahbadi Poetry

Wo Chaman Na Raha
Wo Hawaa Na Rahi, Wo Chaman Na Raha, 
Wo Gali Na Rahi Wo Hasee’n Na Rahay,

Wo FaLak Na Raha Wo Samaa’n Na Raha, 
Wo Makaan Na Rahay Wo Makee’n Na Rahay.

_____________

Wo Gulo’n Mein GuLo’n Ki Si Bu Na Rahi, 
Wo Azeezon Mein Lutf Ki Khoo Na Rahi,

Wo Haseeno’n Mein Rang-E-Wafaa Na Raha, 
Kaheen Or Ki Kia Wo Hamee’n Na Rahay.
_____________

Na Wo Aan Rahi Na Umang Rahi, 
Na Wo Rindi-O-Zohd Ki Jang Rahi,

Soo-E-Qibla Nigaahon K Rukh Na Rahay, 
Or Dair Pe Naqsh-E-Jabee’n Na Rahay.
_____________

Na Wo Jaam Rahay Na Wo Mast Rahay 
Na Fidaai-E-Ahd-E-Alast Rahay,

Wo Tareeqa-E-Kaar-E-Jahaa’n Na Rahaa, 
Wo Mashaaghil-E-Ronaq-E-Dee’n Na Rahay.
_____________


Hamein Laakh Zmaana Lubhaaye Tou Kia, 
Na’ey Rang Jo Charkh DiKhaaye To Kia?

Ye Muhaal Hai Ahl-E-Wafa K Liye 
Gham-E-Millat-O-Ulfat-E-Dee’n Na Rahay.
_____________

Tere Koocha-E-Zulf Mein Dil Hai Mera, 
Ab Usay Main Smjhta Hoo’n Daam-E-Bala,

Ye Ajeeb Sitam Hai Ajeeb Jafa, 
K Yahaan Na Rahay Tou Kahee’n Na Rahay.
_____________

Ye Tumhaaray Hi Dam Se Hai Bazm E Tarab, 
Abhi Jaao Na Tum Na Karo Ye Ghazab,

Koi Baith K Lutf Uthaaye Ga Kia, 
K Jo Ronaq-E-Bazm Tumhee’n Na Rahay.
_____________

Jo Thee’n Chashm-E-Falak Ki Bhi Noor-E-Nazar, 
Wohi Jin Pe Nisaar Thay Shams-O-Qamar,

So Ab Aisi Miti Hain Wo Anjumanain, 
K Nishaan Bhi Un K Kahee’n Na Rahay.
_____________

Wohi Sooraten Reh Ga’een Paish-E-Nazar, 
Jo Zmaanay Ko Phairen Idhar Se Udhar,

Magar Aisay Jamaal-E-Jahaan Aaraa 
Jo Thy Ronaq-E-Ru-E-Zamee’n Na Rahay.
_____________


Gham-O-Ranj Mein AKBAR Agar Hai Ghiraa, 
Tou Samajh Lay K Ranj Ko Bhi Hai Fanaa,

Kisi Shay Ko Nahi Hai Jahaan Mein Baqaa, 
Wo Ziyaada Malool-O-Hazee’n Na Rahay
_____________

Akabar Allahabaadi Mohabbat Shayari

Gham Nahi Is Ka Jo Shohrat Ho Gayi,
Ho Gayi Ab Tou Mohabbat Ho Gayi.

Ab Kahaa’n Aglay Say Wo Raaz-O-Niyaaz,
Mil Gaye Saahab Salaamat Ho Gayi.

Haaye Kia Dil-Kash Hai Us Ki Chashm-E-Mast,
Aankh Miltay Hi Mohabbat Ho Gayi.

Chaudhwaa’n Saal Un Ko Hai Naam-E-Khuda,
Umr Aafat Thi Qayaamat Ho Gayi.

Naaz Say Us Nay Jo Dekha Sheikh Ko,
Un Ki Dee’n-Daari Hi Rukhsat Ho Gayi.


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *